आयुर्वेद: आयुर्विग्यान:आयुर्वेदास्कैन:ई०टी०जी०:आयुषमन::AYUSH Therapies

Pitta ki thaily ki pathari yani Gall Bladder stone

Posted by: prakruti on: जून 30, 2008

Gall bladder yani pitta ki thaily hamare sharir ka ek pramukh ang hai, ise sabhi janatey hain ki yah kahan hoti hai, isake kaam ke bhi bare mein adhikanshatah logon ko pata hai, chunki yah vishay sharir rachana aur sharir kriya vigyan se sambandhit hai, atah jo log isake bare mein adhik janana chahatey hain , ve kisi bhi chikitsak ke paas jakar samajh sakatey hain ya internet par hi dekh samajh sakatey hain.

 

Is thaily mein jab sankraman hota hai, isaki vajah se  ya kisi anya karan se infalammation hone lagata hai to ise “cholecystitis” ya Inflammation of Gall Bladder ya painful condition of Gall bladder kahatey hain. Is bimary mein gallbladder ki diwalon mein sujan aa jati hai, aur ve moti hone lagati hain.

 

Doosari mukhya takalif hai isake andar “sludge”  jam jana yani calcium ya fat ya pitta ke kano ka jam jana, teesari takalif jo jyada satati hai vah hai Pathari ka ho jana, yah pathari kuchch millimeter se lekar kai centimeter  tak ki ho  jati hain, kisi kisi marij mein yah dekhane mein aaya hai ki poora ka poora gall bladder patahrion se thasathas bhara hua hota hai.

 

Maine aise rogiyon ki chikitsa ki hai, lekin isamein kaphi limitations hain , yah samajh lena chahiye. Allopathic ke doctors in sabhi bimarion ke ilaj ke liye operation kara lene ki salah dete hain, lekin Ayurveda  Chikitsa padhyati mein is tarah ki bimarion ki kai dashaon mein, operation se bacha ja sakata hai. Ye kaun si stithiyan hai, inaka jikra main yahan kar raha hun.

 

Ayurveda chikitsa padhyati mein Cholecystitis, Gall bladder inflammation, sludge jamane jaisi bimariyon ka pakka aur satik ilaj hai, jinhe is tarah ki takalif ho ve ayurvedic dawayein karen , ve 100 pratishat rog se mukta ho jayeinge  aur unhe surgery nahin karani padegi. Maine saikadon rogion ko rog mukta kiya hai.

 

Jinhen Gall Bladder stone ho, yani Gall bladder ki pathari ho, yadi Gall stone, 05 millimeter, size tak ki ho to Ayurvedic upachar karein, isamein safalata mil jayegi, lekin yadi Gall stone size isase bada hai yani 06 millimeter aur isase bhi  jyada, yani 10-20 mm ka hai, to kuchch din tak dava khakar dekh lena chahiye, kyonki hota yah hai ki koi koi pathari is tarah se form hoti hai ki vah dawa khilane se pighalane lagati hai aur usaka size chchota hone lagata hai, lekin yah hamesa sabake saath nahin hota, bahut si pathariyan itani kadi hoti hain ki ve pathathr se kuchalane ke baad bhi nahin tutati, is awastha mein  Surgery kara lena hi ekmatra rasta hai.

 

Jab bhi ilaj karayein, mahine do mahine baad, Ultra sound kara kar dekha lein chahiye ki Gall Bladder aur pathari ki kya stithi hai. Is bimari ke ilaj ke liye kisi sidha hasta vaidya ki sevayein le to achcha hai.

 

Ek baat aur kahunga, ki yadi Ayurvedic ilaj ke saath saath  HOMOEOPATHIC ki dawaon  ka upayog karein to sone mein suhaga wali baat hogi, rog jaldi thik hone ki ummid badhati hai.

टैग:

23 Responses to "Pitta ki thaily ki pathari yani Gall Bladder stone"

mujhe pathari hai use thik karne ke liye koi medicine bataye

Mai sudhir kulkarni, sir mai dus saal se pet me bhari pan, aur pitta ke karan aur pet saaf na hona, bhuk na lagana aur nind bhi nahi aati hai aur gudda dwaar ke pass kucha to stone jeisaa atak huwa lagata hai esiliye mera pet saaf nahi hota iska kya karan ho sakata hai esi karan mera kam me dhyan nahi lagtaa hai iske liye muzye koi medicine bataye apaka bahut bahut abhari rahunga.

Sudhir Kulkarni, solapur, Maharashtra.

Mai sudhir kulkarni, sir mai dus saal se pet me bhari pan, aur pitta ke karan aur pet saaf na hona, bhuk na lagana aur nind bhi nahi aati hai aur gudda dwaar ke pass kucha to stone jeisaa atak huwa lagata hai esiliye mera pet saaf nahi hota iska kya karan ho sakata hai esi karan mera kam me dhyan nahi lagtaa hai iske liye muzye koi medicine bataye apaka bahut bahut abhari rahunga.

Sudhir Kulkarni, solapur, Maharashtra

sir mera gall bladder ka operation hua hain, acidity aur constipation bhi hain…to fasting karne se kya bimari ho sakti hain(saal main 2-3 bar)

………..Reply by Dr DBBajpai……….. गाल ब्लैडर के आपरेसन के बाद आपको एसीडिटी और कब्ज की शिकायत रहने लगी है यह ठीक नही है / आप जहां कहीं पर भी हों , वहा आप अपने पास के वैद्य को दिखाकर चिकित्सा व्यवस्था लें / मेरे विचार से आपको लीवर के आकार मे अधिक हो जाने के साथ साथ बड़ी आन्त तथा छोटी आन्त की तकलीफ हो सकती है / आप उपवास या व्रत क्रना चाहती है तो खाली पेट न रहें और lequid diet जैसे दूध,फलों का रस , शर्बत, कोल्ड drinks आदि लेते रहे /

sir mere papa ko OCD bimari tha, daba liye to kam gaya lekin doctors ka kahna hain ki 10-20% rah hi jata hain….kya yah sahi hain??agar yah sahi nahi hain to iska kya ilaj kaise hoga…kripya mujhe yah batane ka kast kijiye.

………..Reply by Dr DBBajpai………..यदि आप अपने पापा का आयुर्बेदिक इलाज कराना चाहती है तो सबसे पहले उनका एक ई०टी०जी० परिक्षण कराइये / ईलेक्ट्रो त्रिदोष ग्राम ; ई०टी०जी० आयुर्वेद्स्कैन परीक्षण करा लेने के बाद आयुर्वेदिक इलाज बहुत सटीक और अचूक हो जाता है तथा इलाज में गलतियां होने की सम्भावना कती नहीं होती /

इसलिये मेरी यही सलाह है कि पहले आप ई०टी०जी० परीक्षण कराये / इलाज से १० या २० प्रतिशत की जितनी कमी है वह भी दूर हो जाती है /

Sir,
Meri wife ki pittay ki thaili main 3-4 mm ki ka pathari hai kya woh bagair opretion sahi ho sakti hai yadi haa to please mujhe bataye, sath hi davaiyon ke naam bhi bataye.

Sir,
Meri wife ki pittay ki thaili main 3-4 mm ki ka pathari hai kya woh bagair opretion sahi ho sakti hai yadi haa to please mujhe bataye, sath hi davaiyon ke naam bhi bataye

mera beta 5 saal ka beta hai or us ke gall bladder mein stone hai
yadi bina operation koi ilaz hai to sir/mam mujhe bto plz

………..reply by Ayurvedician………..aapane gall bladder ki pathari ka size nahi likha hai

sir mere gall bladder mei stone hain aur wo b 3 (7mm,9mm and 11mm)..aur isi karan mjh tummy mei pain hota h doc.ko dikhane k baad unhone kahan sujan ki wajah se dard h..aap plz mjh iska ilaaj bataayen ki mujhe ab kya karna chahiye.

………..reply by Ayurvedician………..aap apni ultrasound ki report scan karake bhejiye

sir meri kidny main pathri hone ki vajah se mujhe urin passing main problem hoti hai and stomek main pain bhi rehta hai please addvise me some ayurvedic medicin for my problem

…………reply by Vaidyacharya………aap apane prashna ka uttar FAQ page par dekh le

meri mata g ki pitti ki theli me kafi sari pathri h, docters ne operation bataya h.. lakin unhy blood shuger kafi h or liver size b badha hua h.. lakin abi pichly kuch din se shuger control h.. or ab shayad operation ho skta h.. me ye janna chahta hu k operation k bad pathri fir se to nahi ho jati??

Sir mujhe gall Bladder me 6.7 mm & Kidney me 6.4 mm ki 1-1 Pathari hai aur gat 2 mahine se me jyada pareshan hun sir i need your help for this.
can u do somthing good for myself.
Pls Reply.

………..reply by Dr. D.B.Bajpai………..aapaka rog KAST SADHYA / ASADHYA ROG ki shreni me aataa hai, ap chahate hai ki apaka rog dur ho aur AYURVED ki aushadhiyon se apana rog thik karana chahate hai to hamari sabse achchi salah yah hai ki ap niche diye gaye vidhan se yadi chikitsa karayenge to avashy ROG SE MUKTI MIL JAYEGI

STEP-1 ; Sabase pahala apana ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein
STEP-2 ; Parikshan ke uparant apaki takalif ka job hi conclusion hoga, us ke hisab se apako davayein di jyengi
STEP-3 ; Bataye gaye parahej ko kuch samay ke liye chalate rahe
STEP 4 ; har 15 din ya ek mah ke antaral par apana chekup karate rahe aur davayein continue rakhe

Apaki bimari ke hisab se apako 120 din se lekar 240 din tak dava khana pad sakata hai, itane din ilaj karake aap ko rog mukti mil sakati hai

This is the correct approach of the treatment of your ailments. YAH AAPAKI BIMAARI KA JAD MUL SE THIK HONE KA SAHI AUR SATIK AUR ACHUK ILAJ KA RASTA HAI

Ilaj ke liye apako KANPUR shahar aanaa hogaa , kyonki yahi par is parikshan ki suvidha upalabdh hai

sir,
Meri bahan ki age 18-19 sal ki hai us ko pitte ki thaili mein 15 mm ke stone hai,
kya hame operation karwana chahiye,
agar ha tu konsa operations karwana sahi hai,
1) doorbeen ka operation
2) normal operations
meri sister ko bahat pain hota hai please reply me on arg basis
Regards,
MD ARIF QURESHI ( MUMBAI -ANDHERI )

………..reply by Dr DBBajpai………..pitte ki patahri ka size kaphi bada hai, yah nahi nikal payegi, kyonki pitt ki nali ka diameter 6mm se 8 mm tak ka ausatan hota hai, jahir hai patahari ka size bada hai isaliye OPERATION kara lena cahiye, yahi ek rasta hai. apaki bahan ki umra abhi kam hai isaliye LEPROSCOPY ya Durabin se hi operation abhi kara le, lekin isake baad har saal ek ultrasound karakar barabar dekhe ki kahi duaara pathari to nahi ban rahai hai . Behatar hogaa pathari nukalava dene ke baad Ayurvedic ya Unani ya Homoeopathy ka ilaj karaye taki PATHARI BANANE KI TENDENCY KHATAM HO JAY aur dubara pathari na bane isaka vishesh khayal kare

sir meri kidny main pathri hone ki vajah se mujhe urin passing main problem hoti hai and stomek main pain bhi rehta hai please addvise me some ayurvedic medicin for my problem

kya lemoun ka ras our jyada pani pine se pathari nikal sakati he?
pl. sir eska elaj batae a.

………..reply by Dr DBBajpai………..apko gambhir kism ki takalif hai, isaliye internet par mujhase saval aur javab puchane ke bajay ap apane najadik ke kisi ayrvedic ya homoeopathic ya dusari cikitsa padhyati ke chikitsak se milakar apana gambhirata puravak sincerity ke sath ilaj karayein , nahi to agar ap laparavahi karate hai to kidney fail hokar apaka jivan khatare me pad sakata hai, isaka dhyan rakhe

very good first aid

respected sir
i beg to say that my mom ko kidney or pitt ki thaili me badi badi pathari he or unka pahle pathari operation bhi ho chukaa he or peration ke bad phir se pathari ho gayi ,meri mom ki age 40 years he ,please aap bataye ki ye pathari kisse banti he or isme kya khana chahiye jise ye pathari na bane .meri mom ko kamar dard 24 hours rahta he hum bhahut hi poor he .or hum doctor se medicine bhi nahi le sakte actuly my father is deth,so paiso ki problem he,plz aap kuch aisa bataiye jisse meri mom ka dard theek ho jaye or pathari bhi khatam ho jaye ..
thank u

sir aap hindi me written karke send kijiyega.

meri mom ki pathari ka size he 6.5mm

Shyam rathod
Ahmedabad,Gujrat
Sir,muje bhi pittashay thaili me 12mm ki pathri hai ayurvedic dava chlu hai to use thik nahi huaa to muje kab aur kesha opration karvana chahiye jaldi batao sir

………..reply……….aap jitani jaldi ho sake pitta ki thaily ki pathari ka operation kara dale, leproscopy operation thik rahega

Sir mujhe stone hai gall bladder me please help me

………..reply………..kitani badi hai???????

sir meri maa 40 saal ki hain unhe gall bladder main pathri hai wo jab bhi kuch khati peeti hain to unka pait phul jata hain or unhe bahut hi dard jalan dhakar aaati hain please aap bina opration ke koi accha sa herbal ilaj bataiye jisse mari maa ki tabiyat jaldi se acchi ho jai than s sir

……….. reply………..agar pathari ka size 1 mm se lakar 7 mm ke bich ki hai aur yah sankhya me ek se lekar chah tak hai to ap najadik ke kisi Homoeopathic ya ayurvedic doctor se salah lekar dava karayein. lekin lambe samay tak kyonki isako nikalane me samay lagataa hai ,

agarche pathari ka size 8mm se adhik ka ho to kuch din dava karaye agar na thIk ho to phir operation kara le

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

ETG AyurvedaScan WORLDWIDE Visitors Count Begins from 17 August 2010

Every Second Count of Visitors

ayurvedaintro.wordpress.com
81/100

Google Page Rank ; Top 10 ; counting starts from 13 February 2011

Instant presence of visitors ; counting starts from 13 February 2011

WELCOME to all of you ; Kindly write your comments ; आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 446,741 hits

E-mail address for CONTACT

kpcarc@gmail.com

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

जून 2008
सो मँ बु गु शु
« नव   जुला »
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

Top Posts

Thanks Visitors

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 72 other followers