आयुर्वेद: आयुर्विग्यान:आयुर्वेदास्कैन:ई०टी०जी०:आयुषमन::AYUSH Therapies

Manasik Rog : Bhay, chinta, ghabarahat, mansik uttejana aadi ; मानसिक रोग, भय, चिन्ता, घबराहट आदि आदि

Posted by: prakruti on: अगस्त 19, 2008

Mansik rog  yani man ke rog, inhe psychological Bimari Bhi kahatey hai, jinako ho jati hai ve sab bahut vahami kism ke log ho jate hain, aise rogiyon ke ilaj mein savadhani kuchch jyada hi varatani chahiye.

Mansik rog hote kyon hain ? isake bahut se karan hain, chunki yah takalif mano Bhavon se judi hai, aur man hamesha kuchch na kuchch socha vichara karata hai, yah achcha bhi sochata hai aur kharab bhi sochata hai, isaliye jab yah  achcha sochata hai to man prasanna ho jata hai aur vyakti chinta aadi se mukta rahata hai, isiliye kaha gaya hai ki man ko hamesha prasanna chitta banaye rakhana chahiye, isase dukh dard door rahatey hai.

Lekin jab man mein koi takalif hoti hai to yah apana expression Anxiety, Bhay yani fear, Ghabarahat, atma hatya ki pravratti, marityu bhay, marane ka dar aadi aadi manasik vikratiyan ke rup me sare expressions paida ho jate hain,

In sabake liye , mere vichar se , kai baatey jimmedar hoti hain,

1- Parivarik stithi, kuchch log parivarik samasyaon se ghire hote hain, ye samasyayein kuchch bhi ho sakati hain, in samasyayon ki vajah se log manasik tanav ka shikar ho jate hain, man ke andar ve ghutatey rahatey hai aur in sabaka expression kisi bhi manasik rog ke swaroop mein badal jata hai

2- Arthik sankat, yah bhi ek karan hota hai, ghaarahat, anxiety , mrityu bhay sanakana , kar kuch rahe hai aur kah kuch rahe hai, bhagam bhag ka aalam, isame log sochatey hain ki unaka ghar kaise chalega, kya hoga aadi bhavishya ki ashanka se ghire rahatey hain

3- Bacchon ki shadi se samandhit, ya bachche na paida hone ki stithi aadi mein mahilayein manasik rog ki chapet mein aa jati hain

4- Purushon ko Bhi  manasik rog ho jatey hain, unamein bhi mrityu Bhaya, atmahatya ki pravaratti ya isi prakar ke vichar ya soch hoti hai,

5- Kishor ya jawan umra ke logon mein manasik rog isi prakar ke paye jatey hain

Haqiqat mein dekha ya samajhaa jay to yahi nishkarsh nikalegaa ki , manasik rogi ko koi rog hi nahin hota, yah usaki soch aur us soch ko Bar Bar repeat karane ke karan man mein ek is prakar ki ganth bana leta hai, ki jaise hi usake vichar us star tak aate hain, usako mansik takalif hone lagati hai, jo jyada dimagi kaam kar rahe hain, jinaka mastishka bahut jaldi kaam karane se thakata hai, jo jyada mansik shram karatey hain aur mansik vishram nahin karatey hain unako yah taklif bahut satati hai, isaliye manasik rogi ko jitana vishram mansik aur sharirik ho sake karana chahiye, man ko shant hone mein kam se kam 5 ya 6 ghanta lag jate hain,

Mansik rogi ko chahiye ki vah apana dhyan doosari baton ki or lagaye, usako yah samajhana chahiye ki man ka rog jaise achanak aata hai vaise hi achanak vichar badalane se chala Bhi jata hai,

yah Thyroid ya hormonal imalances se Bhi  samandhit hota hai, isaliye jab  bhi mausam mein Badalav  aayega, ya achanak mausam badalega tab mansik takalifein Badhati hain, vastvikata yah hai ki isase sharir ko koi nukasan nahin pahunchata, phir Bhi isaka ilaj karana chahiye,

 Allopathy mein mental anxiety ki sedative medicine hain, Ayurveda mein bhi hain aur Homoeopathy mein bhi hain, isake saath man ko koi na koi kaam mein lagaye rakhana chahiye. Bhagawat bhajan kare, ishwar ki aradhana aur sab kuchch usi par chchodkar , positive thinking  ko apanane se rog shant ho jata hai.

Hamare chikitsa kendra mein MANASIK ROGIYON ka ilaj ETG AyurvedScan ki findings ke saath karane se bahut achche parinaam mile hai. ETG findings se yah pata chal jaataa hai ki marij ke NERVOUS SYSTEM, BRAIN, CIRCULATORY SYSTEM, SPINAL CORD aadi aadi tatha andar ke VITAL ORGANS ki kya stithi hai, is sab baton ka vichar karake jab chikitsa karate hai to avashy labh hota hai aur rog dur hota hai.

 

39 Responses to "Manasik Rog : Bhay, chinta, ghabarahat, mansik uttejana aadi ; मानसिक रोग, भय, चिन्ता, घबराहट आदि आदि"

Dear sir,
kya Manasik Rog hone wale insan ko badan dard ka karan mansik rog ho sakata hai.

kishor.

……….Reply by Dr. DBBajpai…………dard ho sakata hai, ise psychosomatic problm kahate hain.

Dear Dr. DBBajpai..

Kya aap Bata sakate hai iska ilaj kese kiya ja sakata hai.

Kishor………………

Reply by Dr DBBajpai………..Sabase pahale aap apanaa ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein, jisase yah pataa chale ki aapake sharir mein kyaakyaa bimariyan ya vikrati hai. Isake pashchat aap Ayurvedic ilaj karayeinge to aapako avashya laabh hoga.

Thank You sir.

Namaste Sir,
mujhe Anxiety(dushchinta, vyagrata) yani baham ki bimari hai. saath hi mujhe Hyper Aciditi bhi rahati hai Ocid 20 capsool subaha lene se Aciditi to control mein rahati hai magar Jyada Garami or jyada sharadi mein mujhe bahut ghabarahat hoti hai aisa latata hai jaise mera sans ruk jayega or mein mar jaoonga. Waise mujhe rojana hi chest mein bhari pan or gale mein davab sa rahata hai or sans lene mein bahut takaleef rahati hai or sans foola foola sa rahata hai tatha jyada Penic hone se mujhe aisa lagata hai jaise mujhe heart problem hai magar hai nahi or mujhe Asthama bhi nahi hai. mery umar 44 saal hai. Kripya mujhe aayurvedik ilaj batayen jis se mery Anxiety or Aciditi ki bimari hamesha ke liye khatam ho jaye. ye bhi bataye ki ETG test Delhi mein kahan hota hai.

………..Reply by Dr DB Bajpai………..aap vastav mein apane swasthay ke baare mei chintit hain aur sahi mein seriously ilaaj karanaa chahtey hai to sabase pahale apanaa ek ETG parikshan karayein, usake baad ilaaj karayeinge to thik hoga.

ETG parikshan ki suvidha kewal kanpur shahar mein hi hai, isaliye aapako Kanpur aanaa hoga. Delhi aur isake aaspas ke ilake ke bahut se marij yahan kanpur mein aakar apanaa ETG karate hai aur Ayurvedic/Homoeopathic dava le jaate hai. dhanyavad.

sir mai apne aap mai batei karta hui .pleas iska ilaj bataeiy

………..Reply by Dr DB Bajpai………..sabase pahale apanaa ek ETG parikshan karayein, usake baad apana ilaj karaye, yahi isaka sahi rastaa hai aur upachar bhi.

ETG parikshan ki suvidha kewal Kanpur shahar mein hi hai, isaliye parikshan aur ilaj ke liye yahi aanaa hoga.

sir,

Me hamesha udas rahene laga hun rat ko neend bhi thik se nahi ati aur har samy gahri chinta me khya rahata hon. Darasal teen saal pehale mera ek larki se break up ho gaya tha uske bad meri bhhan ki saghai tut gayi saghai humne hi tori thi phir bhi wo log bar bar rishte ke liye ate rahte hai aur muje darr lagata hai ki jaise unhonu jabarjasti saghai kar di thi waise he shade bhi nakar le . bus yahi sochta raheta hun ki wo log hume preshan karte rahenge.
kripya samadhan batae.

………..reply by Dr DB Bajpai………..Pradip Maurya ji, agar aap thik honaa chahate hai, to kuchch din aap hamare Panchakarma kendra mein aakar rahe aur apanaa ilaaj karaaye. Yahi aapake liye behatar rastaa hai .

………..reply by Dr. DBBajpai……….. Hamare yaha ilaj ka tarika ekdam vaigyanik, scientific, achuk aur satik star ka hai.

1- sabase pahale ham ETG AyurvedaScan dvara marij ka parikshan karate hai aur usake baad yah samajhane ki koshish ki jaati hai ki marij ke kis systems mein kis star ki takalif upastithi hai. Bimari chahe jo ho, chahe jaisi ho, lakshan ya symptom jo bhi ho, in sabako ETG findings se milakar samajhate hai ki marij ke liye kis tarah ki davaiyon ki jarurat hai, Ayurved ke hisab se Tridosha, Trodhsa bhed, sapta dhatuon kaa nakalan karate hai aur tab soch smajhakar aushadhiyon ka chunav karate hai. Isame mehanat lagati ha.

Ham Ayurved ki SHASHTROKT AUSHADHIYON [CLASSICAL MEDICINES] ka chikitsa kary me upayog karate hai aur Patent aushadhiyon ka bahut kam prayog karate hai.

Ham marijon ko davayein dak dvara kabhi bhi nahi bhejate hain.

sir main 3 -4 saal sai bina bajah ghabrata rehta hu mairai man mai mai hamesha yahi soch rahti hai ki mai mar jayunga mainai sare test bhi karaye dawaiyan bhi lai raha hoo per dar ghabrahat pisha nahi shodti

………..reply by Dr DBBajpai………..yah aapake dimmag ki vahiyaat soch hai ki aap kahin mar na jayein, maine bahut se rogi dekhe hain jo pichale 35 – 40 saal se yahi sochate rahe aur aaj tak nahi mare, ve sabake sab aaj tak jinda hai aur mujhe puri ummid hai ki ve sab aage bhavishy me bhi rahenge.

Rahi baat ilaj karane ki, to sabase pahale apanaa ek ETG parikshan karaiye, phir isaki findings ke hisaab se jab ilaaj karenge to aapakaa yah marane walaa vahamhi dur ho jayega.

My wife suffers from Mild Epilepsy attacks. Her right side face chick (munh ke dahine gaal par – nas fadakti hai) – get mild attacks. Our doctor has prescribed Oxetol-300 for her. Please advice for some Ayurvedic medicines/treatment.
Thanks.
Radha Kishan khetan
Gwalior

………..reply by Dr DBBajpai………..Khetan ji, disorders as you mentioned are not easy for treatment on internet website or webblog based suggestions. Neurological disorders, which you have mentioned, may have many obstacles in neuromusculo functioneries, which have to be detected. The treatment of Ayurveda is comprehensive in nature and the best results are always gained by treating the systems and not the symptoms.

With the advent of ETG Technology, Ayurvedic treatment is foolproof and without any deviation. It will be better and safe for you to consult your nearest ayurvedic physician for your wife’s treatment.

dr saahb aap apna aderess phone n. Ke saath mujhe bahej de

Dr D. B. Bajpai, Kanak Polytherapy Clinic and Research Center, 67/70, Bhusatoli Road, Bartan Bazar, KANPUR 208001 INDIA

Sir main bhi Mano rog se bahut pareshan rahta hoo mujhe yeh pareshani pichhle 7saal se hai yaha ke doctor ise anxiety kahte hai sir main Raipur chhatisgarh main rahta hoo aur hamesha apne hi vicharo se ghabrata hoo sir kya aap Bata sakte hai yeh join si bimari hai sir is ki shuruat sabse pahle main ek ped ke pass ja kar dar Gaya tha Maine socha ki usme koi aisi shakti hai Jo mujhe maar dalegi bad sir uske baad mera yeh haal hua

डॉ साहब मुझे हमेसा घबराहट होती है । पेट मे गॅस बनता है । पिछले सात महीनो से कुछ ज्यादा ही प्रॉब्लेम होगाई है पूरे शरीर मे हमेशा दर्द रहता है । रात को जल्दी नींद नहीं आती और सुबह जल्दी नींद नहीं खुलती । कब्ज की प्रॉब्लेम बहुत पुरानी है । काम के नाम से घबराहट बढ़ जाती है । मै फ़र्निचर का काम करता हु । काम के लिए किसिका फोन आता है तो घबराहट ज्यादा बढ़ जाती है । अगर आपके यहा इलाज के लिए आना पड़ेगा तो वहा कितने दिन रहना पड़ेगा । रहने और खाने-पीने की व्यवस्था कहा और कैसे करनी पड़ेगी । इलाज मे कुल कितना खर्च आएगा । कृपया पूरा विवरण जितना जल्द हो सके उतना जल्द बताए ,मेरा पूरा व्यवसाय पिछले सात महीनो से बीमारी की वजह से बंद है

………..वैद्याचार्य का उत्तर………..आप अपना पूरा पता लिखकर कान्पुर के पते पर Post द्वारा अथवा कूरियर द्वारा कानपुर के पते पर भेजिये, आपको इलाज से सम्बन्धित सभी प्रकार की जानकारी भेज दी जायगी, धन्यवाद /

Dr. Sahab, main pechle 4 saal se problem ka shikar hun, tanav bhi bana rehta ha kisi kaam main man nahi lagta bahot jaldi bhul jata hun ki kya kaam karna hai mere ye bimari mansik hai eska elaj bataiye

dr. sahab meri wife jiski age 36 yrs.hai.aligarh me mere sath rehti thi. mera transfer lkw ho jane sa bad 3 child age 14 yrs. 11 yrs and 09 yrs. ke sath akeli 2 month se hai. mansik roop se pareshan hai. bat bat gussa hona, jor jor se chillana, saman ko nuksan pahuchana, shak karna, rat ke samay angan may chillana ki aap yahi par ho niklo-niklo karne lagti hai. maine phycratis ko bhi dhikhaya par medicine nahi le rahi hai. abhi 4 days pehle bachon ke pass chodkar main bapas aa gaya huin. in char dino main normal hai aur bachon ko bhi read kara rahi hain. bazar bhi akeli jakar saman le aati hai. koi harkat nahi karti. bahut pareshan hun bina dabao ke kaise ilag hoga. purani baton ko jayda yaad karti hain.aaspas ke mahol se bhi pareshan hai. sarkari quarter hai. kya karoo bataiye

dear sir,d.b.bajpai
sir mera man tanav me raheta hai.me kisi party ya sadi me jata hu to man me tanav hota hey. man me vhem rahta hey esa vichar aata hey sab muje dekh rahe hey.me thik se chal nahi pata hu.mujme aatma vishwash ki kami hey.sir muje depresion ki dwaya lekh dijiye plese sir.me medical se le luga.plese sir muje mail kardejiye sir

Dear sir meri yeh problem hai ki mai ek kaam ko baar-2 karta hu jab tak man nahi maanta aur mujhe pata bhi hota hai ki ye kaam akh baar mai thik ho gaya hai jab bhi usse mai baar-2 karta rehta hu waise meri medicine chal rahi 4 saal se lakin mujhe lagta nahi hai ki mai kabhi bhi thik ho punga aur mujhe medicine se relive nahi lakin docter se jhut bolna padta hai ki mai thik hai plz mujhe batao ki yeh kaise thik hogi bimari

Sir mujhe bacpan se mansik dose hai mai hame kuch na kuch sochta rhta hu aur hamesa niras rhta hu aur mai khule vicharvo wala bhi nahi hu jisse meri mansik bimari aur badh jati hai mai hamesa chinta me duba rhta hu aur hume hamesa dar rhta hai mai palag to nahi hu mai kya kru mujhe bataye.

………….reply …………..ap hamare AYURVEDIC HOSPITAL me3kuc din ke liye akar rahe aur yahi rahakar lagabhag 40 din ilaj karayein apaki bimari me aram aa jayega

Sir,
kuch kam karnese pahle mere man me ghabrahat hoti hai

dr. sahab muje ek mansik rog he jiski detail me apko vyakhya kar raha hoon.
muje yeh bimari karib 15-16 sal se he muje pahle to andere me jese sote samay light chali jay or nind khul jay to bahar niklane ke liye turant gate ke pas ane se muje rahat mil jati thi or fir jakar som jata tha or metro rail me jane me muje yeh pareshani hoti thi ki agar train ke gate band hone ke turant bad chal deti thi tab to koi pareshani nahi agar thorhi si der ruk jay to ek ajib si ghabrahat hone lagati thi jo dil ke pas se hoti thi train chalne ke bad aram mil jata tha or me kisi band jagah me nahi ja pata tha jese sinema hall ya esi hi koi bhi jagah.
iske bad kafi din bad ek bar lift me jane se bhi yeh dikkat hine lagi ab me metro or lift jesi suvidhaon ka estemal nahi karta hoon.
lekin ab muje yeh pareshani jyada hone lagi hai ab muje yeh dimag se hoti kabhi bhi kahin bhi kabhi jyada khane ,kabhi jyada chinta se ,yo esa lagta he ki me ghar me hoon ya kahin bhi koi bhara se kundi na laga de to me andar band ho jaunga bahar kese nikal paunga kahin door bhi nahi ja pata hoon kyoik kisi bhi karan jab yeh ghabrahat ho jati he to man me usi ko lekar chinta rahti he ki kahin dobara na esa karne par na ho jay mera vajan bhi 8-9 kg. kam ho gaya he har karan ko lekar yahi dar rahta he ki kahi ab ghabrahat na ho jay or jab hoti he to ek ajib se becheni hoti he or sara badan kapne lagjata he or esa lagata he ki sara badan ekdam halka ho gaya he muje yeh band me jyada hoti to bahar nikalne ke liye dekhta hu or bhara ajane par thodi der me sahi ho jata hoon.
me is samay dipression ki dava homyopathi kha raha hoon kya yeh sahi he mera marg darshan karen or sahi ilaj batayen kyonki me delhi se bahar bhi nahi ja pata hoon man me vahi bat ghumne lag jati he ki ghabrahat ho na jay

…………reply………..aap pahale apanaa ek ETG AyurvedaScan karaiye aur usake baad ilaj le, kaanpur me akar kuch din hamare aspatal me rahakar apanaa pura check-up karale, usake bad ilaj karayenge to phir aram mil jayega

agar apko or koi bhi saval puchana ho to krpya muje jaroor batayen me jaldi se thik hona chahta hoon

……….reply………..jadi thik hone ka rasta bata diya hai

sir mujhe pheli batein yaad

sir mujhe pheli batein yaad aati rahti h aur phir mann unko hi sochne me lag rehta h aur hamesha lagta h ki maine kuch galat kiya hati rahti h aur aisa lagta h ki pata ni jinko meri ye baat pata chalegi vo mere bare me kya soch rahe honge aur mann karta h jakar un logo se sidhe puch lu. aur phir kuch bhi accha nahi lagta please bataye kya ye mansik rog h aur aisa mujhe kareeb 12 saal se ho raha h meri age 26 year h m kanpur bhi nahi aa sakti hu meri samsya ka samadhan bataye pl

………..reply………..kisi najadik ke docotr se mlakar sari takalif bataye, apke uapcar ka sabase behatar tarika yahi hai

sir mujhe choti choti baat pe gusa aa.jata hai .aur mujhe kisi se baat karne ka trika sa nahi hai aur mene parna wi sod diya hai . ki mujhe mansik rog hai , plz reply

sir mera bhai umra 31 years hai usko gussa bahut ata hai aur kabhi kabhi bahut sahi rahata hai kabhi kabhi bahut gussa ho jata chhoti chhoti baton me, ek hi baat baar baar bolta hai bahut samjhane ke baad thodi der chup ho jata hai thodi der baad phir wahi baat bolne lagta hai gussa ho jata hai, wo kuchh nasha bhi karta hai tab bolta hai to samajh me ata hai lekin bina nasha ke bolta hai to….isi wajah se aaj tak uski shaadi nahi hui, aur wo shaadi ke liye bhi chillata hai, hamere parivar ki sthiti sahi nahi hai, hum sabhi bahut pareshan hai uske liye, please please upchar batye.

Is there any branch or centre in Rajasthan I want to treat my wife

………..reply………..We have no any branch or office or consultation center or ETG AyurvedaScan examination center exceptKANPUR CITY. In Rajsthan , we have no any branch sofar.

If you like to treat your wife, you have to come KANPUR for consultation and examination. Thanks.

Sir koi ladki khatm ho gayi hai mujhe usi ka yad aata hai

………..reply………..ab dusari ladaki ko yaad kiyaa karo

respected sir,
mujhe hmesha ghabrahat rehti he aur dil fast chalta he , hmesha nagetive thinking aati he…. aur hmesha logo se milne me darr lagta he unke samne jane se dil tej dhadkna shru ho jata he…. self confidence ki bahut kami he … maine ca k paper ni diye ye soch ke ki fail ho jauga …

mujhe pta ni har kisi se nafrat rehne lgi he aur koi meri cchoti kami bhi bta deta he to me apni kami ke bare me soch socch kr pagl ho jata hu

hmesha future k tension rehti he kya hoga ? aisa kruga to ye hoga ? dil to bahut tej dhadakta h jaise heart attack aa jayega aur hmesha guilty feel hoti he please help me what should i do for overcome this situation….

Sir mujhe aisa lagta hai.ki main mar jaunga or kisi ki dad body ka face bar bar samne aata hai iska koi ilaj

………..reply………..aise kalpanik saval puchane se apko kya phayda ho sakataa hai

Sir mere ko khud samaj nai aa raha hai kya ho raha hai iska ilaj apke yaha mojud hai

………..reply………..nahi hai

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

ETG AyurvedaScan WORLDWIDE Visitors Count Begins from 17 August 2010

Every Second Count of Visitors

ayurvedaintro.wordpress.com
81/100

Google Page Rank ; Top 10 ; counting starts from 13 February 2011

Instant presence of visitors ; counting starts from 13 February 2011

WELCOME to all of you ; Kindly write your comments ; आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 446,741 hits

E-mail address for CONTACT

kpcarc@gmail.com

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

अगस्त 2008
सो मँ बु गु शु
« जुला   सित »
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
25262728293031

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

Top Posts

Thanks Visitors

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 72 other followers