आयुर्वेद: आयुर्विग्यान:आयुर्वेदास्कैन:ई०टी०जी०:आयुषमन::AYUSH Therapies

Apasmar ya Epilepsy ya Mirgi Rog ya Mirgi ka rog athavaa dimagi daura padana

Posted by: prakruti on: सितम्बर 3, 2008

Yah bachchon aur kishoron tathaa yuvaa aur javaan logon ki bimari hai aur chchutapan se lekar kisi bhi umra mein  hoti hai, badi umra mein yah kam dekhane mein milati hai, lekin yah bimari kab aur kaise ho jay , isake baare me thik thik batana bahut mushkil hai

 

Is takalief mein eka ek ya achanak, baithe baithe ya chillakar rogi behosh ho jata hai aur gir padata hai, rogi kaise gir pada isaka use koi gyan nahin hota, koi koi rogi aise hote hain ki unako is baat ka poorva gyan ho jata hai ki unako Mirgi ka daura padane wala hai, unako lagata hai ki unaka sir ghum raha hai, ankhon ke aage andhera chcha raha hai, kaan mein awajein aane lagati hain, sir mein dard hota hai, koi koi batate hain ki unake sir mein koi kida reng raha hai

Sharir mein aisa lagata hai ki kaamp raha hai, gardan kadi aur ainth jati hai , terhi merhi ho jati hai, ankhon ka oopar ki or khich jana, haath pair akad jate hain ya idhar udhar ho jate hain, pasin aaata hai aur mukh se jhag nikalane lagata hai, Mukh se jhag nikalana aur behosh hona yah Mirgi ke lakshan hote hain,

Kuchch minute tak rogi chchatpatata rahata hai, kabhi kabhi 20 minute se lekar ek ya do ghantey tak bhi behoshi bani rahat hai , phir yah shant ho jata hai, kuchch samay baad rogi ki chetana vapas aa jati hai

Is rog ka koi satik ilaj nahin hai, lekin Allopathy mein daure rokane ki bahut satik dawayein hain, ye dawayein rojana khani hoti hain aur ek din bhi yadi dawa na khayi gayi to turant attack padane ki sambhavana hoti hai, isaliye yadi Allopathy ka ilaj kar rahe hain to dawayein kai varshon tak khani pad sakati hain

Lekin , yadi isake saath saath Ayurved ki dawaon ka upayog karein aur kisi achche Vaidya se ilaj karayein to kuchch samay baad Allopathy ki dawayein chchut jati hai aur phir Ayurveda ki dawayein kuchch samay tak khane se is rog se chutakara mil jata hai,

Is rog se pidit rogi ko jyada der raat mein jagana nahin chahiye, poori nind lena chahiye, mansik shram kam karana chahiye ya padhana likhana kam kar dena chahiye aur yadi adhik takalief hai to chchod dena chahiye, paustik ahar lena chahiye aur kuchch samay tak aram karana chahiye

 

Yah bahut kathin rog hai, theek hone mein samay lagata hai, dwayein khilayein, mastishka par jyada jor na dein, halaka phulaka kaam karein, subah tahalane jayein aur swachch vayu ka sewan karein, din charya aur ratri charya ka kathorata se palan karein, to yah rog kuchch jaldi thik ho jata hai

ayurved me mirgi ki bimari ke liye bahut satik aur aarogya pradaan karane waali davao kI badi shrankhalaa hai, jisake upayog se Mirgi ya behoshi ki bimari me bahut fayadaa hota hai

yadi ETG AyurvedaScan ki report par aadhaarit karake ilaaj kiyaa jaye to aur bhi achchaa hoga, isaki vajah yah hai ki [1] sharir ke andar ke sabhi ango aur system ki svasthay athavaa asvasthay avasthaa ka pataa chal jaataa hai aur yah bhi pataa caltaa hai ki bimaro ko ”trigger ” karane waalaa sthaan kyaa hai ? jab jad se ilaaj karate hai to avashy phayada hotaa hai aur takalif jad mul se nast hoti hai

     

40 Responses to "Apasmar ya Epilepsy ya Mirgi Rog ya Mirgi ka rog athavaa dimagi daura padana"

mirgi ka koi accha dr. bataeye

mirgi mere bacche or wife dono ko dore padte hi iska koi ilaj bataiye me ek viklag hu muje iska dr.or hospital batayea plese

Hello sir

Please send me your address and phone no i am very dis pointed help me ………

………..Reply by Dr.D.D.Bajpai………..Find on the right side of this blog main page, you will see the E.T.G.Centers address and phone no. You can phone me or see me personally at the working hours.

sair muze pune shahar main ek achasa dr. batayen..or address de de.

………..Reply by Dr. D.B.Bajpai………..Kamal karate hai aap bhi, main hazaron kilometer door hu, mai vahan kisi bhi doctor ko nahin janataa, isaliye batana bada mushkil kaam hai . aap to vahin ke rahane wale hai, dekh lijiye aur samajh lijiye. phir bhi main aapko ek web site bataye de raha hun ,vahan jaakar apani pasand ka ayurvedi doctor dhundh lijiye. Website hai http://www.ayurvedaconsultant.com. main is website ka member hun.

Hello sir mere bhen ko kabhi kabhi aisa hota hai ki wo 5min. Ke liye utptang padne lagti hai toilet khul ke nahi ati hai kya ye mirgi ke lakshan hain.

…………reply by DrDBBajpai………….aapaki bahan ko HYSTERIA naam kI bimari hai. “Mirgi” male yani purush logon ki bimari hai aur “Hyteria” mahila logon ki. yah bahut khtarnak rog hai. agar aap apani bahan ke ilaj ke liye bahut serious hain to pahale isaka ek Electro Tridosha Graphy ; ETG AyurvedaScan parikshan karayein taki yah pata lag sake ki isko kis tarah ki aur akaisi bimari hai ? Isake baad upachar karenge to avashya thik ho jayegi.

Laparvahi karane se yah rog bahut teji se badhata hai aur jindagi bhi barabad kar deta hai. Yadi aap ETG parikshan na karayein tab bhi aap apane najadik ke kisi Ayurvedic vaidya ka ilaj karayein aur ise jitani jaldi ho sake shuru kar dena chahiye.

Dear Sir, mera beta 7 year ka hai usko kewal sote samay dora uthta hai our maximum one minute ke lie, es ek minute mai kya kya hua usko sab yad hota hai, eshi ke beech mai wo hamse pani mangta hai ya fan off karne ko bolta hai, means wo hoss mai rahta hai. iske bad uska ek hath pair(feet) kuch samay ke lie kam nahi karta hai, dore ke samay uske hath, gardan & feet tite ho kar kampan karte hai. ye konsa dora hai/ koi elaj batao/ valparid cr 500, levepil 250, elexer g syp, Dr. de rahe hai. ye one and hlf year se chal raha hai. aaj tak 10 time ho chuka hai. keval sote samay hota hai. maximum aakh lagte hi hota hai din ya rat kishi bhi samay.

………..reply by Dr DBBajpai………..Bablu singh ji, agar aap apne bete ke liye bahut chintit hai aur usaki sehat ke bare mein fikra kar rahe hai , to yah ek achchi baat hai. Lekin allopathic ki dava lene ke baad bhi yadi usaka marj thik nahi hai to isake bare me jarur vichar karana chahiye. Apaka bachcha apasmar rog se pidit hai.

Yadi ayurved ka ilaj karana chahte hai to sabase pahale isaka ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein. Yah ayurved ka parikshan hai, atah ayurved ke mul sidhdhanton ke saath saath yah pure sharir ka bhi parikshan kar deta hai, jisase yah baat pata chal jati hai ki isake sharir me mul rog ya mukhay rog kya kya hai aur rog ki jad kahan se paida ho rahi hai. Yah parikshan vartaman me KANPUR me hi mere yahan upalabdha hai.

Jab ETG AyurbedaScan ka sahara lekar upachar karenge to jarur phayada hoga aur aapke bete ko avashy arogya milega.

dear sir
mere mamera bhai ko mirgi ka doura parta hai.please achcha dr. ke bare me bataye.
with thanks.
pranav

@………..reply by Dr DBBajpai………..kis shahar me aur kaha rahate hai ?

sir noida men acha sa dr baten

sir mera chota bhai 6 sal ki umar se attack se pidit hai. hamne pahle nagpur pagelkhana se uska
ilaj karwaya lekin usko waha se kuch fark nahi pada, fir 2 se 3 sal Dr. Shailaesh Pangaokar se
elaj karwaya wha 11 mahine tak vah thik raha, parantu uske bad usko 1-1 mahine me usko attack aane
lage, fir hamne uska ilaj Dr. abbasi se karvana Shuru kiya unka hamne uske attack ka vidio dikhaya,
uski ECG, MRI Bhi karwayi parantu report Normal Thi, Dr. sir ka kahna hai ki yeh Mirgi ka Daura Nahi
Hai Parantu unhe Bhi daught hai Abhi usko mahine me 1-2 bar attack aate hai dawai bhi Chalu hai.
krupya aap koi rashta bataye abhi uski umra 28 sal hai, ham nagpur (Mah) main rahte hai.
Mob. No. 09325605275

………..reply by Dr DBBajpai………..agar aap vastav mein apane bhai ke ilaj ke liye serious hai to aap sabase pahale uskaa ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein, yah ayurved ka parikshan hai aur agar ayurved ka ilaj karana chahate hai to aap ko yah karana padega tabhi ilaj ki gadi aage bad sakegi, lekin isake liey aapako Kanpur aanaa padega kyonki yah suvidha kewal yahi par upalabdh hai. ETG Ayurvedascan ke parikshan ke baad ilaj sahi aur satik tathaa bina galati ke hota hai

agar yah nahi karana chahate to sabase behatar hai aap apane paas ke kisi achche ayurved ke chikitsak ko dikhayein aur unse ilaj karayein

aisi takalifon ka ilaj lambe samay tak hota hai isaliye ayurved ki davayein lamabe samay tak dena chahiye

ek baat aur dhyan dijiyega, vah yah ki abhi vartaman me jo bhi Allopathy ki davayein chal rahi hai, use ek dam se n band karein, yah khatarnak hota hai

agar yah

mera name ajit walia hai m 23 sal ka hu.
mujhe mirgi ka dora padta hai.
mera ilaj AIMS se chal raha hai. me tergritall 400 mg kha raha hu.
400 subha aur 400 mg shyam ko. ya doura mujha 13 sal ki umar me pada tha. par mujhe ya doura bhich bhich me pad jata hai.
lagbhad 1 mahina ka gap dekher .
jab padta to 2 ya 3 bar padta hai
me isha paryshan hu. muja jab doura padta hai to muja khana khata smaya hi hoti aur me bahosi ki halat me ho jata hu mera right hand haat apne aap hi chara ki taraf aa jata hai aur chaaria bhi aatha mud jata hai . tergritall khana ka bad bhi muja yaha dura pad jata hai. koi upai batai.
mera mri hua hai aur ushma aaya hai ki dimak ma koi ghat pad ghai hai. jiska karan muja dura padta hai.
thankyou
ajit walia
07838574741

………..reply by Dr DBBajpai………..agar aap apani takalif ke bere me bahut gambhir hai aur laparvah nahi hai tathaa Ayurvedic ilaaj karana chahate hai to sabase pahale aap apna ek ETG AyurvedaScan Parikshan karayein, usake baad Ayurved ka ilaj lenge to avashy phayada hoga aur baar baar ki aisi takalifon se bachav hogaa, anyathaa yah takalif samay ke saath saath badhati chali jayegi aur phi kisi bhi tarike se kaabu me nahin ayegi

sir i am 43 years old .i got a fit attack in 2006.MRI was clear but EER has some epilepsy waves.it was my 1st attack.i was on medicine for three years.now on1st march 2011 i got 2nd fit attack .i was admitted immidiatly.ilost memory of past two days then recovered it .doctor i want to know that may it be connected with tension and stress.because both time my dad was suffering from heart attack? doctor .is it 100% curable.what pre cautions i should take.

………..reply by Dr DBBajpai………..kindly browse the related posts in this blog and also FAQ. Thanks

Hello, my self alok jain.meri problem aap se critical hai but same hai.me 37 year ka hu. mujhe 1993 me fit aaya tha .dr.ne 2 GAROIN tab subah aur shaam lene ko kaha.kuchh maah baad maine tab lena band kar diya.lagbhag 1 year baad mujhe us se jyada tivrta ke 2-3 fit aaye.hospital me 2 din admit hona pada. dr. ne regular GAROIN 3-5 year lene ko bola.5 saal tab lene ke baad memory 40% kam ho gayi .Jeebh bhi kuchh mati si ho gayi thi. fir EEG report normal aayi.maine iske pehle koi test nahi karaya tha.GAROIN band kar di .aur memory ke liye vaidya ji se smirti sagar ras mila jise kuchh maah lagataar liya.Tab se pichhle 15 year main bhool hi gaya tha ki mujhe epilepsy bhi hai.Abhi 25 june ko barsaati kidon ke karan kuchh infection hua.to maine ek dr. ke paas se LECOPE tab li aur khaa kar so gya 15 miniut baad mujhe fit aa gaya.3-5 miniut me hi thoda-thoda hosh aa gaya tha.hospital le gaye.dr ne drip aur 2 injection diye aur subah Tab.EPTION (phenytion tablets 100mg) 1-1 dono time lene ko kaha.aur CT scan ki advise di.mere yahaan par koi suvidhaa na hone ke karan main treatment ke liye GWALIOR (MP) gaya Nuero hospital me Dr.Aayangar ko dikhaya.dr.ne EPTION (phenytion tablets 100mg ko 3time regular lene ko kaha hai saath me HALOTAM 1200(piracetam tab) 2 time MEFTAL 500 (mefenamic acid tab) SYSFOL (folic acid tab 5mg) 1-1 time One month tak lene ko kaha aur kisi JAANCH ke liye nahi kaha hai.me treatment to le raha hu.lekin aisa menta hu ki alopathy se ye cure nahi.ho sakta hai aap kisi result par aa gaye ho.please contect me mera cell no hai 09893469025.I am waiting for your call pl,

sir DEHRADUN me mirgi ke liye koi achha doctor bataye?
thank u doctor.

sir mughe jhansi mirgi ka acha doctor batane

Sir, agr kisi ko mirgi ka attack aaye to use jaldi se jaldi kaise hosh me laya ja sakta hai?

sir test krwane se pata chal jaata hai kya ki ye mirgi a daur hai ya aise he?sir plz tell me.

………..reply by Vaidyacharya………..YES, other parameters related to brain and Auto Nervous system ke baare me bhi pata cha; jata hai. isi blog me ETG AyurvedaScan ke bare me dekh lijiye

sir meri mummy ko mirgi ka daura pada hai aap pls batai main kya karu mujhe kuch samjh nahi aa raha hai hum iska ilaj kaise kare jisse ye jaldi thek ho jaaye sir pls mujhe jitni jaldi ho sake aap reply kare

………..reply by Vaidyaacharyaa………..aapaka rog KAST SADHYA / ASADHYA ROG ki shreni me aataa hai, ap chahate hai ki apaka rog dur ho aur AYURVED ki aushadhiyon se apana rog thik karana chahate hai to hamari sabse achchi salah yah hai ki ap niche diye gaye vidhan se yadi chikitsa karayenge to avashy ROG SE MUKTI MIL JAYEGI

STEP-1 ; Sabase pahala apana ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein
STEP-2 ; Parikshan ke uparant apaki takalif ka job hi conclusion hoga, us ke hisab se apako davayein di jyengi
STEP-3 ; Bataye gaye parahej ko kuch samay ke liye chalate rahe
STEP 4 ; har 15 din ya ek mah ke antaral par apana chekup karate rahe aur davayein continue rakhe

Apaki bimari ke hisab se apako 120 din se lekar 240 din tak dava khana pad sakata hai, itane din ilaj karake aap ko rog mukti mil sakati hai

Sir, mujhe aaj se 4 saal pahle mirgi ka daura pda tha. Delhi se g.b.pant hospital se ilaaj karvaya 3.5 year tk regular medicine bhi khai. Ek bhi time miss nahi ki. Uske bad doctor ne med.band kar di, lekin med. Band karne ke 2 mahine bad bhi dubara daura pad gya. Main ab kya kru samajh nahi aa rha kahan se ilaaj karaun.

sir mujhe accha doctor bataye jaipur mai

ser mirgi ki bimari jenetic hoti he kya
agar badi bahan ko mirgi ki bimari he to choti bahan ko bhi ho sakti he kya

sir, mere bete ko 1 saal pahle se he dore parne chalu huye hai.inko raat me sote samai dora parta hai.dora parte samai jeava kat jati hai.sir mujhe iske ilaag bataie

………..reply by Vaidyaacharyaa………..aapaka rog KAST SADHYA / ASADHYA ROG ki shreni me aataa hai, ap chahate hai ki apaka rog dur ho aur AYURVED ki aushadhiyon se apana rog thik karana chahate hai to hamari sabse achchi salah yah hai ki ap niche diye gaye vidhan se yadi chikitsa karayenge to avashy ROG SE MUKTI MIL JAYEGI

STEP-1 ; Sabase pahala apana ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein
STEP-2 ; Parikshan ke uparant apaki takalif ka job hi conclusion hoga, us ke hisab se apako davayein di jyengi
STEP-3 ; Bataye gaye parahej ko kuch samay ke liye chalate rahe
STEP 4 ; har 15 din ya ek mah ke antaral par apana chekup karate rahe aur davayein continue rakhe

Apaki bimari ke hisab se apako 120 din se lekar 240 din tak dava khana pad sakata hai, itane din ilaj karake aap ko rog mukti mil sakati hai

This is the correct approach of the treatment of your ailments. YAH AAPAKI BIMAARI KA JAD MUL SE THIK HONE KA SAHI AUR SATIK AUR ACHUK ILAJ KA RASTA HAI

Ilaj ke liye apako KANPUR shahar aanaa hogaa , kyonki yahi par is parikshan ki suvidha upalabdh hai

mere papa ko doure padte hai jo 1 mahine me nahi to 1.5 mahine me pad jaate hai jiske baad bo kafi kamjuri meshush karte hai aur doura padne ke baad vo kam se kam 1 ghanta to kishi se bolte hi nahi hai aur doura padne ke douran unka toilet nikl jaata hai aur humare paas itne pise bhi nahi houte ki privet ilaz kar sake hum bhout pareshan hai kiya aapki koi branch delhi me nahi hai aur hume kiya karna chaiye mere papa ki (papa ki age 65 years hai)

APKE YAHAN JAANCH KA TOTAL KHARCH KITNA HOTA HAI,SABHI JAANCHO KA,PLEASE BATAYEN.AUR DAWAEIN PER MONTH KITNE KI HONGI ADIKTAM KITNE MAHINE ME[ MIRGI KA MARIGE] THIK HO SAKTA HAI.PLEASE REPLY.

MY MOBILE NO 09300949489

hello sir
Mujhe din main kai baar fits aa rahe hai mujhe jab ate hai jab mujhe kuch action karna ho jaise koi mujhe bulaye aur mujhe jana ho ya koi meri taraf aye ya mujhe apni jagah se ekdum uthna ho wo mere mind main hamesha rehta hai ki mijhe ab aa sakte hai 15 sec k liye mere haat paon akad jate hai gardan upar ho jati hai aur main gir jata hu agar koi sahara nahi milta toh pls bataiye kya ye mirgi hai ya aur kuch pls rep sir

reply……….aap FAQ page dekhiye

According symptomps my younger brother surffering mirgi/epilepsy. Please sir suggest me , is ihbas Delhi may a good option for him.

hello sir muje mirgi hai muje ayurved ilaj krana hai kuch muje favor kare

…………reply………..pahale apana ek ETG AyurvedaScan karaye aur usake baad ayurvedic ilaj karayenge to avashy thik ho jayenge

meri saas ko mirgi ka aatack aaya tha wo hamare ssth ghumne gayi thi unhone restaurant mei khana khaya aur jaise hi hum bahaar aaye to wo baith gayi aur uske thodi dare k baad unhe attack aaya ,humne unka allopatheic ilaaz karwa diya ab hum ye jaan na chah rahe hai ki kya unka jhoota koi aur khaye to usko bhi aise attach aane k chances hai aur hame kya kya karna chahiye kya nhi plz explain

Sir,mere ko daure padte hain aur ek baar muh se jhaak bhi aaya tha mai allopathy ki dawai kha raha hoon doctor ka kahna hai ki ye seizure disoder hai aur mujhe puri zindagi dawai khani hogi per vaidya ka kehna hai ki ye bimari mirgi nahi hai aur mai 1 saal me ayurvedh ki dawai se theek ho sakta hoon.kaun sahi hai aur kaun galat please mujhe batayein.jab mujhe daura padta hai tab mai meaning less batein karta hoon aur kuch der k liye so jata hoon jab uthta hoon to yaad nahi rehta ki maine kya kiya tha daure k doran.ye kya hai mirgi ya kuch aur please batayein aur kya ye thik ho sakta hai.

Sir,mere ko daure padte hain aur ek baar muh se jhaak bhi aaya tha mai allopathy ki dawai kha raha hoon doctor ka kahna hai ki ye seizure disoder hai aur mujhe puri zindagi dawai khani hogi per vaidya ka kehna hai ki ye bimari mirgi nahi hai aur mai 1 saal me ayurvedh ki dawai se theek ho sakta hoon.kaun sahi hai aur kaun galat please mujhe batayein.jab mujhe daura padta hai tab mai meaning less batein karta hoon aur kuch der k liye so jata hoon jab uthta hoon to yaad nahi rehta ki maine kya kiya tha daure k doran.ye kya hai mirgi ya kuch aur please batayein aur kya ye thik ho sakta hai.

………..reply by Dr DBBajpai……….aap apanaa ilaaj ETG AyurvedaScan parikshan karaakar karaye, apako avashy laabh milegaa aur apaki bimari bhi dur ho jayegi

jis samay rogi ko daura padta hai us samay kya karna or kya nahiin karna chahiye ?

kyunki aaj class me ek log ko daura padaaa to samajh nahiin aa raha tha ki kya karoon??????????

hi sir muje doore pdte h mare muh se jhaag niklte h and hath per akd jate h mera aaurvadic ilag chal raha 6 monts se is beech muje 2 baar doore pd chuke h aap h kuch upay btaye and ye age k sath khtam hote h k nhi and ye mirgi hi hai ya kuch or kyo ki mirgi wala shayad pani ya aag se drta hai???

Sir mera ayurvadic ilaj chal raha tha. ayurvadic vaid ne kaha tha ki ye 1saal mai thik ho jayega par 1 mahina dawai khane k baad doura aur jyada ana suru ho gaya 1 din mai 18baar hua to maine ye dawai band kar di.sir mujhe bataiye kya ye dawai pehle bimari badhati hai aur phir thik karti hai.sir reply jaldi kijiye ga mereko daure kuch jyada hi pad rahe hain.

……….reply………..mirgi ke daure agar adhik aa rahe hai aur aap ayurvedic ilaaj karaa bhi rahe hai phir bhi takalif badh rahi hai to isaka arth yahi hai ki ilaaj aur nidaan aur dvayein aaoaki bimaari ke anukul nahi hai aur kahi koi gadbad hai . jitane hi adhi daure ayenge dimaag utanaa hi kamajor hotaa jaataa hai , isaliye sabse pahale jaruri hota hai ki daure aane ki sankhyaa kam ki jaaye

kabhi kabhi marij se bhi anajaane mem galati hoti rahati hai isa kaarn bhi dauraa padataa hai, aapake ayurvedic cikitsak jasi salah de aur dava de vah sab thik hai lekin apani jivan shaili rahan sahan aur khan paan par bhi jyada dhyan de , yah sab ap apane ayurvedic doctor se puch sakate haim jo apaka ilaj kar raha hai

ETG AyurvedaScan parikshan riport ke data par adharit sabhi bimariyom kaa ilaj hota hai aur marij jarur thik hote hai

sir mere bahan ko mirgi aati hai 8year se jad se samapt karne ka upchaar batye

………..reply………..pahale ek ETG AyurvedaScan parikshan karaye aur ayurveda ka ilaj karayenge to avashy thik ho jayegi

sir mara bhai 30 year ka hai isko 2 saal se mirgi ka duga start ho gaya hai …
wo jab bhi raat ko nahi sota hai usko dura aa jata hai uska kaam bike per hota hai isliye mai bahut tabsion mai rhata hu …

mujhe koi accha sa doc bataye aur ye dora aker kis karan se hota hai …

please help me

regards
Riya vyas
(Bhopal)

………..reply………..ap isi blog me apasmar ya mirgi ki post ko padh le, usame sari jankari di gayi hai

Sir Muja 3 Saal sa mirgi ka dora aa rha ha aur ma ayurvadic ilaj karana chhata hu.Apka yahan sabi jaanch ka total kharcha kitna hota hai ,Please batayen aur dawaein per month kitne ki hogi Please Reply.

………..reply……….aap pahale apanaa ek ETG AyurvedaScan parikshan kara le isame apake rupaye 1600 [ek hazar chchah sau kharch ho jayenge, janch karane aur isaki report banane tathaa davaa lene me lagabhag 3 ghante lag jate hai, dava pratidin ki 50 ya 60 yaa 70 ya adhik ki pratidin ki hoti hai yani har mah lagabhag 2400 rupaye ki dava ho jati hai, courier ka kharcha alag se dena hoga

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

ETG AyurvedaScan WORLDWIDE Visitors Count Begins from 17 August 2010

Every Second Count of Visitors

ayurvedaintro.wordpress.com
81/100

Google Page Rank ; Top 10 ; counting starts from 13 February 2011

Instant presence of visitors ; counting starts from 13 February 2011

WELCOME to all of you ; Kindly write your comments ; आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 446,741 hits

E-mail address for CONTACT

kpcarc@gmail.com

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

सितम्बर 2008
सो मँ बु गु शु
« अग   अक्टू »
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930  

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

Top Posts

Thanks Visitors

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 72 other followers