आयुर्वेद : आयुषमन : AYUSHMEN

AYURVEDIC BASIC FUNDAMENTAL PRINCIPALS आयुर्वेद के मौलिक सिद्धान्त : Tridosh Bhed: त्रिदोष भेद

TRIDOSHA BHED

 Ayurveda  mein Tridosha ko “Aetiological factors” mana jata hai, jabaki Tridosha bhed ko “Pathophysiology” ke samakshsha manatey hai. Pathophysiology se matalab yahan par yah hai , ki sharir ke ang samanya karya kar rahe hain , ya samanya se kam ya adhik kaam kar rahe hain, udaharan ke liye, kisi ka liver samabya se kam kam kar raha hai ya samanya se adhik kaam kar raha hai, ise hi pathophysiology kahatey hai

TRIDOSHA BHED : AYURVEDIC PATHOPHYSIOLOGY / PHYSIOLOGICAL BASIS OF DISEASES

 

Tridosha bhed ke bare mein , yadi yah kaha jaye ki . yah Ayurveda ki PATHOPHYSIOLOGY  ya PHYSIOLOGICAL BASIS OF DISEASES ke samkashsha hai, to bahut upayukta hoga. Yah ek aashcharya ki baat hai, ki Ayurveda ke manishiyon ne jis gyan ko hazaron varsha pahale prapta kar liya tha, usi gyan ko prapta aur verify karane ke liye, adhunik vigyan nai takanikon ke sahara lekar dubara phir verify kar raha hai.

Ayurveda ke maharshiyon ne sharir ke ango ki karya pranali ke kam ya adhik kaam karane se parinam swaroop utapann vayadhion ka adhdhyan na jane kitane varshon poorva kar liya tha, bhale hi yah vichar matra raha ho ya us samay ki paristithion aur tatkalin prapta adhunik janakari  ko adharit karake uptodate gyan, lekin ise is liye kharij nahin kiya ja sakata, ki job hi Tridosha bhed mein bataya gaya hai, vah aaj bhi utana satya aur satik hai, jitana vah pahale ya poorva mein raha hoga.

 

 

 

 

 

 

 

################

 VAYU KE KARYA

 Vayu ke paanch bhed kahe gaye hain, in vayuon kea lag alag karya hai, jinhein Ayurveda ke maharshiyon ne hazaron vars tak observe karake Ayurveda chikitsa vigyan mein sammilit kiya hai

 Jin panch Vayuon ka varnan kiya gaya hai , ve sab nimna prakar hain

 1-    Udan Vayu

2-    Pran Vayu

3-    Saman Vayu

4-    Apan Vayu

5-    Vyan Vayu

1-Udan Vayu- Yah vayu gale mein stithi hoti hai, isi ki shakti se prani bolata hai aur git gata hai, jab yah vayu kupit hoti hai to gale aur kanth ke rog paida hotey hain

 2- Pran Vayu- Yah Vayu prano ka dharan karati hai air hamesha much mein rahati hai, yah prano ki rakshsha karati hai aur bhojan ko sharir ke ander pravesh karati hai, jab yah kupit hot hai hichaki, tatha shwas aadi rog paida karati hai

 3- Saman Vayu- Yah vayu, amashay aur paqvashaya mein vicharati hain aur jatharagni se milkar anna ko pachati hain aur anna se utapannahuye mal mootra aadi ko alag alag karati hain, jab yah kupit hoti hai tab mandagni, atisaar aur vayugola jaise rogon ko paida karati hai

 4- Apan Vayu- Yah pqavashaya mein rahati hai. Mal mootra, shukra, garbh aur artava, inako nikal kar bahar phenkati hai, yah vayu kupit hokar, mootrashay aur guda ke rog paida karati hai tatha shukra dosha , prameha tatha vyan aura pan ke kop se hone wale rog paida karati hain

 5-Vyan vayu – Yah vayu sare sharir mein vicharati hai, Yah ras, pasina aur khun ko bahati hai, Chalana, niche ko dalana, oopar ko phekana, aankh michana, aura ankh kholana, ye sab kriyayein isi ke aadhin hain, jab yah kupit hoti hai tan sare shari ke rogon ko prakat karati hai

 Jab yah sabhi pancho vayu ek saath kupit ho jati hain tab . yah prani ko mar dalati hai

####################

PITTA KA SWAROOP

Pitta ek tarah ka halka gadha aur patala dravya hai. Yah swabhav se garam bataya gaya hai. Ayurveda batata hai ki aam se mila pitta ka rang nila aam se alag pitta ka rang pila hota hai.  Yah dastavar, charpara, halka, chikana aur tikshshana hota hai. Pak ke samay isak swad khatta ho jata hai

 

PITTA KE PAANCH PRAKAR

Jis prakar Vayu ke paanch prakar hote hain ,usi prakar Pitta ke bhi paanch prakar hote hain

1.    Pachak pitta

2.    Ranjak Pitta

3.    Sadhak pitta

4.    Alochak pitta

5.    Bhrajak pitta

PANCHO PITTON KE KAAM

 

 Sabhi Pitton ke kamon ke bare mein Ayurveda ke manishiyon ne bahut gaharayi se adhyyan kiya hai, is addyan se prapta nishkarsh par Pitta ke sthan unake kaam ke bare mein jitana bhi gyan mila , use batane ki chesta ki hai

 

1-    PACHAK PITTA- Yah amashay aur paquashaya mein rah kar, chchah prakare ke aaharon ko pachata hai aur sheshagni ke bal ko badhata hai tatha ras , mutra, mal prabhrati ko alag alag karata hai. Mukhyataya se vahin stithi hua arthat amashay aur pquashaya mein hi rahkar, apani karyakari shakti se, sharir mein vyapta apane hi angon ko poshit karata hai. Koi koi isi pitta ko Jatharagni ya pachak agni bhi kahatey hain, yah agni hi bhojan ka pachan karati hai,

2-    RANJAK PITTA- Isaka kaama ras ka rakta yani khun banana hai

3-    SADHAK PITTA- Buddhi, medha, aur smaran shakti ko badhata hai. Yah vanchchit manorath ka sadhan karane wala hai

4-    ALOCHAK PITTA-  Isaka  kaam rup graham karana hai, isi ke karan se praniyon ko dikhata hai

5-    BHRAJAK PITTA – Yah pitta kanti karata hai aur  lep, tel ki malish aur snan aadi ki pachata yani sukhata hai

####################

KAPHPHA KE PAANCH PRAKAR

Kappha paanch prakar ka hota hai

  • Kledan
  • Avalamaban
  • Rasan
  • Snehan
  • Shleshman

KAPHPHA KE RAHANE KE STHAN

Amashay, Hridaya, Kantha, Sir aur sandhi [sharir ke jod], inamein paancho prakar ke kaphpha rahatey hai. Amashay ke kledan,  hridaya mein avalamban, kanth mein rasnsir mein snehan aur sandhiyon mein Shleshman kaphpha rahata hai

 

KAPHPHA KE KAAM

1-Kledan Kaphha: Anna ko gila karata hai aur apani shakti se kaphpha ke dusare sthano kobhi jal karm dwara shayata deta hai,matalab yah hai ki Kledan kaphpha anna ko bhigots his, isaliye ikaththa hua anna alag alag ho jata hai,kaphpha hriday aadi anya sthano mein jakar, un un sthano mein hridaya ka avalamban karata hai, trik sandharan, ras grahn karata, sampoorna indriyon ko trapta karata aur sandhiyon ko jodane itaydi mein jal karmon se sahayata karata hai

2- Avalamban Kaphpha- Ras yukta virya se hridaya ke bhag ka Avalamban aur trik namak haddi ka sandharan karata hai

3- Rasan Kaphpha – Rasan aur rasana kaphpha- ye dono saumya guna yukta hain, dono paas rahatey hain, is karan rasana jibh aur rasan kaphpha, ye dono rs ko janatey hain

4- Snehan Kaphpha-  Yah chikanai dekar sari indriyon ko  tripta karata hai

5- Shleshman Kaphpha – Sab sandhiyon ya jodon ko achchi tarah jodata hai

 

 

 

 

 

 

2 Responses to "AYURVEDIC BASIC FUNDAMENTAL PRINCIPALS आयुर्वेद के मौलिक सिद्धान्त : Tridosh Bhed: त्रिदोष भेद"

hey if any one is there who cn tell me abt the basic concept of tridosh bhed………

@ Reply by Dr. D.B.Bajpai

If you are interested in Ayurvedic medical system and want to know more about it, I would like to suggest you, first you go through with the initial introductory books on AYURVEDA. As for as concern with your query, “tridosha bhed”, this is understood to be equivalent as PATHOPHYSIOLOGY or PHYSIOLOGICAL BASIS OF DISEASES of Ayurveda system. Thanks.

Dr. Sab,

meri aahnkon mein aur sir mein dard rahta hai, left ankh se dikhna bhi kam ho gaya hai aisa lagta hai jaise ki dhundh ho sab aur saf dikhai nahi deta meri umar 30 sal hai.

mujhe koi dava batain jisse ki meri takleef theek ho

dhanyavad

PRARTHI
PAWAN

Leave a Reply

इलेक्ट्रो त्रिदोष ग्राफी : ई०टी०जी० का विश्व का पहला परीक्षण केन्द्र ::: ई०टी०जी० सेण्टर, E-52, खपरा मोहाल, खलील क्वार्ट्स कम्पाउन्ड, कैन्ट, कानपुर contact: 09336238994 :::आयुर्वेद की पहली और अकेली ; सम्पुर्ण शरीर का आयुर्वेदिक विधि विधान पूर्वक मौलिक सिद्धान्तों के निदान के अलावा सारे शरीर में व्याप्त रोगों के निदान का ज्ञान कराने वाली तकनीक का परीक्षण केन्द्र समस्त जनता, वैद्यों, आयुर्वेद के चिकित्सकों के लिये कानपुर शहर में स्थापित किया जा चुका है । यहां रोजाना सुबह ९ बजे से दिन २ बजे तक ई०टी०जी० परीक्षण किये जाते हैं । कोई भी रोगी व्यक्ति या अन्य लोग, जो भी परीक्षण कराना चाहते है, वे किसी भी दिन आकर अपना परीक्षण करा सकते हैं ।

World’s first Electro Tridosha Graphy Scanning Center : E.T.G. center, E-52, Khalil Quarters Compound, Khapara Mohal, Cantt,KANPUR 208001 :Contact: 9336238994 : 09:00 AM to 02:00 PM daily

Word’s First Electro Tridosha Graphy E.T.G. Technology Research Center::::: Kunmun ETG Research Center, 67-70, BhusaToli Road, KANPUR-208001, UP::::Contcat for ETG Examination ::Evening 06 PM to 09 PM daily::::Contcat in Person/ appointment by phone:::0512 2367773

ई०टी०जी० परीक्षण तकनीक का दूसरा केन्द्र :………. कुनमुन ई०टी०जी० रिसर्च इन्स्टीट्यूट, 67/70, भूसाटोली रोड, बर्तन बाज़ार, कानपुर 208001, उत्तर प्रदेश, भारत

आयुर्वेद का सबसे नया आविष्कार : इलेक्ट्रो त्रिदोष ग्राफी : ELECTRO-TRIDOSHA-GRAPHY {ETG}- New invention in Ayurveda

In Medical science, all examinations, scans are from the Allopathic medical science sides, for example Xray, Ultrasound, MRI, CT Scan, Microscopic examination etc. ELECTRO-TRIDOSHA-GRAPHY [E.T.G.] is the first and only scan of Ayurveda & the ultimate Ayurvedic diagnosis solutions' technique. Readers can get more information in the websites, mentioned below or search details in the blog. आयुर्वेद चिकित्सा विज्ञान का नया आविष्कार - इलेक॒ट्रो त्रिदोष ग्राफी, ई०टी० जी०, तकनीक से [१] आयुर्वेद के मॊलिक सिध्धान्त तथा [२] शरीर के रोग निदान , इन दोनो के विषय में Data sheet डाटा रिपोर्ट के स्वरुप में प्राप्त कर सकते है । वैद्यों और आयुर्वेदिक चिकित्सकों को इस विधि से प्राप्त डाटा पर आधारित होकर मरीज की चिकित्सा करने पर अवश्य लाभ होता है । इस तकनीक के बारे में अधिक जानकारी इसी वेब ब्लोग पर या अन्य स्वतन्त्र web blog पर देख सकते है ।

आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 41,509 hits

Electro-Homoeo-Graphy {E.H.G.} : Homoeopathy mein naya Avishkar

EHG , vartaman samay mein Homoeopathy vigyan ke liye yah naya avishkar, ETG technology se nikal kar aaya hai. Is takanik se Homoeopathy ke teen siddhant "Psora, Sycosis, Syphilis" ka manav sharir mein vyapt star ko napa ja sakata hai, isake alava "Vital Force" ka star aur "sensitivity" ka star bhi naap sakatey hain. Is takanik se Homoeopathy ki dawaon ka chunav bhi kar sakatey hai, rog nidan bhi kar sakatey hai, jyada jankari ke liye upar darshayi gayi, web sites par jakar vivaran dekha sakatey hain

Pages

Recent Posts

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

November 2009
M T W T F S S
« Oct    
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

यहां मेरी तस्वीरें देखिये ; Flickr Photos

More Photos

Top Clicks

  • None

RSS Vote on Demand

  • An error has occurred; the feed is probably down. Try again later.

  • prakruti: ..........डा० देश बन्धु बाज्पेयी का उत्तर ...........प्रिय शिष्य डा० र
  • डा० रूपेश श्रीवास्तव: आत्मन मुनेन्द्र, मैं चिट्ठों पर लिंक के रूप में नहीं दिलो
  • prakruti: ........... Reply by Dr. D.B. Bajpai...........डा० रूपेश श्रीवास्तव जी एक "क्वालीफाइड