आयुर्वेद : आयुषमन : AYUSHMEN

AYURVEDIC BASIC FUNDAMENTAL PRINCIPALS आयुर्वेद के मॊलिक सिद्धान्त : Tridosh त्रिदोष

Ayurveda ke vigyan ke siddhant Ayurveda ke hazaron varshon ke lagatar kiye gaye anubhvon ke pashchat establish kiye gaye hain, pura ayurveda is tridosha sidhdhant par adharit hai, in tin doshon ko TRIDOSHA kahatey hain
Yeh TRIDOSH mukhyataya 3 hain
  • VATA
  • PITTA  
  • KAPPHA

Inhe dosha kaha jata hai,

inhe dosha bhi kahate hain aur dhatu bhi kahatey hain, chunki Dhatu aur mal inse hi dushit hote hain, isaliye inko dosh kaha jata hai, yah deh ko bhi dharan karatey hain, isaliye inko dhatu bhi kahatey hain

################################

VAYU DOSHA ATHAVA VATA DOSHA KE CHARITRAGAT LAKSHSHAN

Sab doshon mein Vayu pradhan hai, Bina Vayu ke prani matra chchan bhar bhi jivit nahin rah sakata hai, dehadhariyon ke liye bahari aur bhitari dono vayuon ki jarurat padati hai, bahari vayu praniyon ko jivit aur chaitanya rakahati hai aur bhitari vayu sharir ke bhitar karya kiya karati hai, kahin ras ko kahin rakta ko kahin virya ko aur kahin bhojan ko pahuchati hai, yah sharir mein safai karati hai aur mal mutra ko nikal kar bahar phenkati hai, isake anek kaam hain, jitane dosha aur dhatu hain , ve sab langadey hain Vayu unhe jahan le jati hai, vahin chale jatey hain. Jis tarah Vayu badalon ko idhar se udhar aur udhar se idhar jati aur lati hai usi ki tarah yah sharir ke bhitar bhi karya karati hai

############################ 

Vayu ke rahane ke sthan

Kantha, hradaya, kothe ki aay, malashaya aur sara sharer, ye paanch sthan vayu ke rahane ke hain. Kanth mein dan vayu, hridaya mein prana vayu, kothe ki  agni ke niche mein, nabhi mein saman vayu, malashay mein apan vayu, aur sare sharer mein vyan vayu rahati hai

 

#############################

VAYU KE KOP KE LAKSHAN

 

Ang bhed, anivarya trasha, mardan ki si pida, kamp, sui chubhane ki si pida, rassi se bandhane ki si pida, mal ki kathorata, sharer ka lal rang ho jana, much ka kasaila swad, sans na aana, sharer sukhana, shul, sharer ka so jana, sharer ka sikudana, sharer ka rah jana prabhrati lakshshan, Charak ke sutra sthan mein Vayu kop ke likhe hain. Mamuli taur par Vayu ka kop hone se sharer mein thakan si malum hone lagati hai. Pakhana peshab kam hote hain, aankhon mein nasha sa jaan padata hai, nind nahin aati, pet phul jata hai, jodon mein dard hota hai, pith ki haddiyan dukahne lagati hai, sir mein dard hota hai, chchato aur kanapati mein vedana hoti hai.

############################

VAYU KOP KE KARAN

 

Maharishi Charak ne apane granth CHARAK SAMHITA  mein likha hai ki Vayu prakop ruche, halke tatha shital padarthon ke sewan, apani shakti se jyada mehanat karane, bahut adhik vaman hone, bahut adhik bar bar julab ya virechan padarth lene, vasti kriya ka atiyog, pakhana , peshab, chchink, jamhai, ityadi vegon ko rokana, upwas rakhana, chot lagana, bahut jyada stri sambhog karana, bahut adhik chinta karana aur bevajah ghabarana,  khub chinta fikra karana, khun ka nikalana, raat mein adhik der tak jagana, sharir ke bila vajah terha merha karana, yah sab Vata Vikar ke kop yani badhane ke karan hain

Harit samhita mein likha hai ki , kasaile aur shital padarthon ka sewan, bahut khanaa, bahut chalana, adhik bolana, ati bhay karana, rukhi, kadavi, aur charpari chijon ka jyada sewan karana, OOnt, ghoda, haathi, rath, palaki, jaisi swariyon ka adhik sawari karana, thand ke dinon mein, baadalon keg hire dinon mein aur dopahar ke baad snan karana, masoor, matar, moth, chola, jwar, jou, mote chawal, kala anna, shital anna, kangani, lal anna, bathua, pyaj, gajar jaisa anna aur sabzion ka khana, yah sab adhik matara mein sewan kiya jaye to Vayu ko kupit karatey hain. Is prakar ka nirdesh Ayurveda ke Maharshiyon ne diye hain ki manushya ko vayu ke kop se hamesha bachana chahiye, kyonki Vayu dosha ke imbalance hone se  sharir mein takaliefein badhati hain, isaliye yadi Vayu ko balance rakhenge to sharir swastha rahega, Vayu ke adhik badhane se hi sharirik vicar honge.Isaliye in sab karanon se bachana chahiye yani isaki adhikata se bachana chahiye. Jinaki Vata ptrakruti hounako ruche,kdave, kasaile, charpare padarth, basi bhojan, thanda bhat, vrat upavas, adhik stri sewan aur adhi tairana aadi se bachana chahiye. Barasat ke mausam mein aur jab kisi bhi mausam mein badal rahe hon , un dinon mein Vayu ka prakkop adhik hota hai, yahi vayu ke kop ka samay hai, isaliye vayu se bachane ke liye garam mahaul ki awashyakata hoti hai, atah garam kapade pahanana, garam bhojan karana, garam pani se nahan ityadi garam ahar vayovhar ka upayog karana chahiye

VAYU KI SHANTI KE UPAY

 

Mithe, khattey, khare, chikaney aur garam padarthon dwara Vayu rog ki chikitsa karana chahiye. Pasina dilana, tel ki malish karana, kam hava aati ho aise sthan mein sona, bhari bhojan karana, gota mar ke nahan, sir mein tel lagana, gunguna jal, gehun, moong, ghi, navin urda, lhsun, munakka, mith anar, pake aam, aawale, kaitha, moong, gomutra, harad, paka tarphal, mishri, chini, gay ka doodh, aur sendha namak jaisi vastuyein ka upayog karane se Vayu ka kop shant hota hai.

VAYU KSHAY KE LAKSHAN

 

Vayu ka jab kshaya hota hai, tab mand chasta, sharir mein shithilata, udasi, thoda bolana, thodi prasannata, smaran shakti ka kam ho jana, ye lakshan us samay hote hain, jab manushya ke sharir mein vayu kam ho jati hai. Yah shushrut ka mat hai. Charak ke sutra sthan mein likha hai, vayu ke chchin hone se kupi pitta yadi kaphha ki chaal ko rok de,to tandra, bhatipan aur jwara hota hai. Yah bhi kaha gaya hai ki Vayu ke kamajor hone par Pralap, bharipan, tandra, nidra, thuk mein kaphha aur pitta ka ana aur nakhun girana ye lakshshan hote hain.

VAYU KI BRADHDHI KE LAKSHSHAN

 

Jaise Vayu ki kami hoti hai, usi tarah Vayu ki badhotari bhi hoti hai. Chamade jaisi kathorata, dubala pan, sharir ka phadakana, garmi ki ichcha, nin ka ana, kamajori , mal ka sukhana aur mal ka kam hona, ye lakshshan Vayu ki braddhi ke hain

VAYU KE SAMAY

 Braddhavastha mein vayu ka jor adhik hota hai, isiliye is awastha mein vayu ka kop bahut hota hai, jo bradhdha sawadhan rahatey hai, vayu ko kop karanewale ahar vihar ko apanatey hain aur vayu nashak upayon ka tatha ahar vihar ka prayog kiya karatey hain , ve sabhi vayu ke prakop se bache rahatey hain aur sukhpurvak jivan ka anand lete hain

Yah bi kaha gaya hai ki din ke ant aur ratri ke ant mein yani din ke do baje ke baad aur raat ke do baje ke baad vayu ka samay hota hai, is tarah bhojan pach chukane ke bad bhi vayu kasamay hota hai

Yah ek mahatvapoorna baat hai ki Barasat ka samay Vayu prakok ka pradhan  samay hai, Hemant aur shishir rituyein bhi Vayu ke kop ka samay hoti hain, is mausam mein sharir mein rukhapan adhik kota hai

Harit samhita mein kaha gaya hai ki Kartik, agahan, magh , asadh tatha hemant rituon aur chchaho rituon ke sandhikaal ke samay vayu savish ya jaharili hoti hai

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

PITTA KA SWAROOP

 Pitta ek tarah ka halka gadha aur patala dravya hai. Yah swabhav se garam bataya gaya hai. Ayurveda batata hai ki aam se mila pitta ka rang nila aam se alag pitta ka rang pila hota hai.  Yah dastavar, charpara, halka, chikana aur tikshshana hota hai. Pak ke samay isak swad khatta ho jata hai

 

PITTA KE RAHANE KE STHAN

 Agnashaya, yakrat, pleeha, dono netra, sampoorna deh aur twacha mein pitta nivas karata hai. Amashaya mein pachak pitta, yakrat aur tilli mein ranjak pitta, hridaya mein sadhak pitta, dono netron mein aalochak pitta, aur saare sharir mein tatha twacha yani chamadi mein bhrajak pitta rahata hai.

 

PANCHO PITTON KE KAAM

Sabhi Pitton ke kamon ke bare mein Ayurveda ke manishiyon ne bahut gaharayi se adhyyan kiya hai, is addyan se prapta nishkarsh par Pitta ke sthan unake kaam ke bare mein jitana bhi gyan mila , use batane ki chesta ki hai

1-    PACHAK PITTA- Yah amashay aur paquashaya mein rah kar, chchah prakare ke aaharon ko pachata hai aur sheshagni ke bal ko badhata hai tatha ras , mutra, mal prabhrati ko alag alag karata hai. Mukhyataya se vahin stithi hua arthat amashay aur pquashaya mein hi rahkar, apani karyakari shakti se, sharir mein vyapta apane hi angon ko poshit karata hai. Koi koi isi pitta ko Jatharagni ya pachak agni bhi kahatey hain, yah agni hi bhojan ka pachan karati hai,

2-    RANJAK PITTA- Isaka kaama ras ka rakta yani khun banana hai

3-    SADHAK PITTA- Buddhi, medha, aur smaran shakti ko badhata hai. Yah vanchchit manorath ka sadhan karane wala hai

4-    ALOCHAK PITTA-  Isaka  kaam rup graham karana hai, isi ke karan se praniyon ko dikhata hai

5-    BHRAJAK PITTA – Yah pitta kanti karata hai aur  lep, tel ki malish aur snan aadi ki pachata yani sukhata hai

 

PITTA CHCHAY KE LAKSHAN

 Jis tarah se Vayu dosha ghatata badhata rahata hai, usi prakar Pitta dosha bhi ghatata badhata rahata hai. Jab Pitta dosha mein kisi prakar ka vicar paida hota hai, tab agni mand ho jati hai, sharir ki garami kam ho jati hai aur sharir ki raunak kam ho jati hai ya sharir ki raunak mari jati hai

 

PITTA BRADDHI KE LAKSHAN

Jab Pitta dosha badh jata hai, tab sharir pila pad jata hai ya sharir ka rang rakta rang ki bajay halke pile rang ka dikhata hai, sharir mein jalan ya garmi mahsoos hoti hai, thandi chijein khane ki ichcha hoti hai, thandi jagah baithane ki ichcha hoti hai, thand aahar vihar pasand hota hai, yani thandak pahuchane wali samagri ki avashyakata hoti hai, nind kam aati hai, behoshi jaise sitthi hoti hai, shakti kam hoti hai, bal kam hota hai, indriyan durbal yani kamajor ho jati hain, peshab pila hota hai tatha aankhon ki safedi ki jagah kuchch pila pan rahta hai, yah sab pitta ki bradhdhi ko darshatey hain

 

PITTA KOP KE LAKSHSHAN

 Pitta jab prakupit hota hai to aag se jakane ke saman sharir mein jalan, aisa mahasus hota hai mano dhakdhak aagni jal rahi hai, dhuan sa nikal raha hai, khatti dakarein aati hain, andar jalan si malum ho, antar dah ho, garami bahut adhik lage, bahut pasin aaye, sharir se badabu aaye, an gaur anya avayav phatein, chamda jale, lal lal chakatte chamadi par pad jayein, lal lal phode phunsiyan hon, kakhori mein chchoti chchoti phunsiya hon, much mein kadavapan ho, swad kadua ho, adhik pyas lage, aankhon kea age andhera chcha jaye, hare rang ka ya haldi ke rang sa chamda ho jaye, mal, mutra aur netra hare ya pile ho jayein, pakhana patala hona, and band bakan jhakana, yah sab pitta ke kupit hone ke lakshshan hain.

 

PITTA KE KUPIT HONE KE KARAN

Sushrut samhita mein kaha gaya hai ki, krodha, shok, bhay, parishram, Upavas, jale huye padarth, maithun, daudana, charpare, khatte aur namakin padarth, garam, halake aur daah paida karane wale padarth, til, tel, kulthi, sarson, alasi, hari tarakariyan, goh, machchali, bakari aur bhed ka mans, khatta dahi, chchachch, dahi ka tor, kanji, har tarah ki sharab, khattey phal aur dhup aadi se pitta ka prakop badhata hai ya hota hai

Harit samhita mein kaha gaya hai ki, bahut garam tatha ruche, charapare aur khattey padarthon ka sewan, dah mein sidhu tatha madira ka sewan, garami mein krodha ya pasino mein sambhog karana, ye sab pitt prakop ke lakshshan hain. Kulthi , arhar ka yush, muli, sahajana, kachur sarson, rai ka shak khana, varsha ritu mein raat ke samay jagana, yudhdha karana aur parishram karana, in karanon se sharad ritu mein pitta kupit hota hai

 

PITTA KE KUPIT HONE KA SAMAY

Garami ka samay, sharad ritu, madhyann kal, aadhi rat aur bhojan pachatey samay pitta visheshkar kupit hota hai, jawani mein pitta ka jor jyada rahata hai

 

PITTA KI SHANTI KE UPAY

Vaidya ko chayiye ki vah pitta ki shanty ke liye niche likhe upachar kareVaidya Pitta ki chikitsa Madhur, kadave, kasaile aur shital dravyon se , pitta nashak sneh se, julab, pralepan, abhyang, avagahan se , tatha matra aur samay ka vichar karake chikitsa karana chahiye. Pitta dosha ki jitani chikitsa hai, unamein virechana yani julab sabase pahale mana gaya hai, kyonki virechn aushadhi dene se yah aushadhi amashay ko alodit karake pitta ke mool ka purna roop se prabhavit karake sahi disha ki or usaki karya chchamata ko puanah la deta hai

Ukta chikitsa vidhi ke alava anya ahar vihar ka bhi prayog karana chahiye, isase bhi pitta dosha shant hota hai, Munakka, kela, aawala, anar, parawal, chchuhara, kakadi, khira, karela, umhada, tar ke phal, purane chawal, gehun, mishri, chini, shakkar, ghi, doodh, makkhan, arahar, jau, chana, moong, dhan ki khil, masoor, kutaki, nishotha, Pitta papada, Triphala, shatavari, chandan aur sunder sthan, kele aur kamal ke patton ki sez, safed chandan ka lep, mitra Milan, mithi baatein, manohar gana, naach, shital mand pawan, favvarey, chandani raat aur chandani, jal ka chchidakav sarikhe shital ahar vihar pitta vikaron se grasit logon ke liye pathya hain

####################

 

KAPHPHA KA SWAROOP

Isaka swaroop safed, bhari, chikana, ghilmila sa, shital, tamogun yukta, aur madhur hota hai, yah vidagdha hone se khari ho jata hai

 

KAPHPHA KE PAANCH PRAKAR

 

Kappha paanch prakar ka hota hai

  • Kledan
  • Avalamaban
  • Rasan
  • Snehan
  • Shleshman

KAPHPHA KE RAHANE KE STHAN

 

Amashay, Hridaya, Kantha, Sir aur sandhi [sharir ke jod], inamein paancho prakar ke kaphpha rahatey hai. Amashay ke kledan,  hridaya mein avalamban, kanth mein rasnsir mein snehan aur sandhiyon mein Shleshman kaphpha rahata hai

KAPHPHA KE KAAM

Kledan Kaphha: Anna ko gila karata hai aur apani shakti se kaphpha ke dusare sthano kobhi jal karm dwara shayata deta hai,matalab yah hai ki Kledan kaphpha anna ko bhigots his, isaliye ikaththa hua anna alag alag ho jata hai,kaphpha hriday aadi anya sthano mein jakar, un un sthano mein hridaya ka avalamban karata hai, trik sandharan, ras grahn karata, sampoorna indriyon ko trapta karata aur sandhiyon ko jodane itaydi mein jal karmon se sahayata karata hai

Avalamban Kaphpha- Ras yukta virya se hridaya ke bhag ka Avalamban aur trik namak haddi ka sandharan karata hai

Rasan Kaphpha – Rasan aur rasana kaphpha- ye dono saumya guna yukta hain, dono paas rahatey hain, is karan rasana jibh aur rasan kaphpha, ye dono rs ko janatey hain

Snehan Kaphpha-  Yah chikanai dekar sari indriyon ko  tripta karata hai

Shleshman Kaphpha – Sab sandhiyon ya jodon ko achchi tarah jodata hai

KAPHPHA KOP KE LAKSHSHAN

Bina khaye hi pet bhara bhara sa lage, ubasi aur aisa lage ki nind aa rahi hai ya nid sare samay lagi huyi hai, deah mein bharipan mahsus ho, jaban ka swad mitha mitha sa laga rahe, much mein pani adhik aave, barbar kaph ya shleshma nikaley, khalipet se dakarein aayein, pakahan kai baar ho,  adhik ho, gala aisa lage ki kaf se bhara huaa hai, bhukh na lage, mandagniho, sharir mein safedi jaisi ho yani rakta ka rang halka ho, mal aur muutra ka rang safed ho, thandak  si lage tatha pahana thoda gadha sa ho, agar aise lakshan hon to phir kaf ka kop samajhana chahiye

KAPHPHA  KSHSHAY  KE  LAKSHSHAN

Jab sharir mein kaphpha ki kami ho jati hai tab sharir mein rukhapan aa jata hai, sharir ke bhitar jalan hoti ho, sir mein ya mastishk mein aisa lage ki khali khali  sa lage, sharir ke saare jod dhile ho jayein, pyas lage, sharir durbal ho jata hai , kamajori si lagati hai, isake saath nind na aave, is tarah ke lakshshan kaphpha ke kshshay  ko darshate hain

KAPHPHA BRADHDHI KE LAKSHSHAN

Jab sab sharir mein Kaphpha badha jati hain tab mal, mutra, netra aur sara sharir ka rang safed rabg jaisa lagane lagata hai, isake saath thandak athava jada jaisa lagane lagata hai, sharir mein bharipan, avasaad, tandra, nindra aur sandhiyan dhili ho jati hain, is tarah ke lakshshan yadi mile ti samajhana chahiye ki , Kaphpha dosha ki bradhdhi ho gayi hai

 

2 Responses to "AYURVEDIC BASIC FUNDAMENTAL PRINCIPALS आयुर्वेद के मॊलिक सिद्धान्त : Tridosh त्रिदोष"

i have a problem of dhatu rog please give me treatment of this symptom i feel very week please give me solution

Dear Anuj

Pls tell me how may times u r suffering from this diease or whats symptom you see as which kind of secretion coming with urine so that I can suggest you very effective medicine for this problem.

Leave a Reply

इलेक्ट्रो त्रिदोष ग्राफी : ई०टी०जी० का विश्व का पहला परीक्षण केन्द्र ::: ई०टी०जी० सेण्टर, E-52, खपरा मोहाल, खलील क्वार्ट्स कम्पाउन्ड, कैन्ट, कानपुर contact: 09336238994 :::आयुर्वेद की पहली और अकेली ; सम्पुर्ण शरीर का आयुर्वेदिक विधि विधान पूर्वक मौलिक सिद्धान्तों के निदान के अलावा सारे शरीर में व्याप्त रोगों के निदान का ज्ञान कराने वाली तकनीक का परीक्षण केन्द्र समस्त जनता, वैद्यों, आयुर्वेद के चिकित्सकों के लिये कानपुर शहर में स्थापित किया जा चुका है । यहां रोजाना सुबह ९ बजे से दिन २ बजे तक ई०टी०जी० परीक्षण किये जाते हैं । कोई भी रोगी व्यक्ति या अन्य लोग, जो भी परीक्षण कराना चाहते है, वे किसी भी दिन आकर अपना परीक्षण करा सकते हैं ।

World’s first Electro Tridosha Graphy Scanning Center : E.T.G. center, E-52, Khalil Quarters Compound, Khapara Mohal, Cantt,KANPUR 208001 :Contact: 9336238994 : 09:00 AM to 02:00 PM daily

Word’s First Electro Tridosha Graphy E.T.G. Technology Research Center::::: Kunmun ETG Research Center, 67-70, BhusaToli Road, KANPUR-208001, UP::::Contcat for ETG Examination ::Evening 06 PM to 09 PM daily::::Contcat in Person/ appointment by phone:::0512 2367773

ई०टी०जी० परीक्षण तकनीक का दूसरा केन्द्र :………. कुनमुन ई०टी०जी० रिसर्च इन्स्टीट्यूट, 67/70, भूसाटोली रोड, बर्तन बाज़ार, कानपुर 208001, उत्तर प्रदेश, भारत

आयुर्वेद का सबसे नया आविष्कार : इलेक्ट्रो त्रिदोष ग्राफी : ELECTRO-TRIDOSHA-GRAPHY {ETG}- New invention in Ayurveda

In Medical science, all examinations, scans are from the Allopathic medical science sides, for example Xray, Ultrasound, MRI, CT Scan, Microscopic examination etc. ELECTRO-TRIDOSHA-GRAPHY [E.T.G.] is the first and only scan of Ayurveda & the ultimate Ayurvedic diagnosis solutions' technique. Readers can get more information in the websites, mentioned below or search details in the blog. आयुर्वेद चिकित्सा विज्ञान का नया आविष्कार - इलेक॒ट्रो त्रिदोष ग्राफी, ई०टी० जी०, तकनीक से [१] आयुर्वेद के मॊलिक सिध्धान्त तथा [२] शरीर के रोग निदान , इन दोनो के विषय में Data sheet डाटा रिपोर्ट के स्वरुप में प्राप्त कर सकते है । वैद्यों और आयुर्वेदिक चिकित्सकों को इस विधि से प्राप्त डाटा पर आधारित होकर मरीज की चिकित्सा करने पर अवश्य लाभ होता है । इस तकनीक के बारे में अधिक जानकारी इसी वेब ब्लोग पर या अन्य स्वतन्त्र web blog पर देख सकते है ।

आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 41,509 hits

Electro-Homoeo-Graphy {E.H.G.} : Homoeopathy mein naya Avishkar

EHG , vartaman samay mein Homoeopathy vigyan ke liye yah naya avishkar, ETG technology se nikal kar aaya hai. Is takanik se Homoeopathy ke teen siddhant "Psora, Sycosis, Syphilis" ka manav sharir mein vyapt star ko napa ja sakata hai, isake alava "Vital Force" ka star aur "sensitivity" ka star bhi naap sakatey hain. Is takanik se Homoeopathy ki dawaon ka chunav bhi kar sakatey hai, rog nidan bhi kar sakatey hai, jyada jankari ke liye upar darshayi gayi, web sites par jakar vivaran dekha sakatey hain

Pages

Recent Posts

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

November 2009
M T W T F S S
« Oct    
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

यहां मेरी तस्वीरें देखिये ; Flickr Photos

More Photos

Top Clicks

  • None

RSS Vote on Demand

  • An error has occurred; the feed is probably down. Try again later.

  • prakruti: ..........डा० देश बन्धु बाज्पेयी का उत्तर ...........प्रिय शिष्य डा० र
  • डा० रूपेश श्रीवास्तव: आत्मन मुनेन्द्र, मैं चिट्ठों पर लिंक के रूप में नहीं दिलो
  • prakruti: ........... Reply by Dr. D.B. Bajpai...........डा० रूपेश श्रीवास्तव जी एक "क्वालीफाइड