AAWALA
Awala athava Amala athava Aamalaki, shashtron mein jo gun HARITAKI ke liye kahe gaye hain, wahi sab Aawale ke bhi hain, lekin yah haritaki ke guno ke alawa , kuchch aur guin paye jaatey hain,
Yah Rakta pitta, aur Prameh ko door karata hai, tatha samsta dhatuon ko badhata hai aur rasayan gun karma wala hai arthat sharir ki metabolic prakriya, sharir ka maintenance , sharir ki cellular aur tissue ko repaire karane mein madad karata hai
AAmala amlaras ki vajah se Vayu ko, Madhr ras aur shit hone se Pitta ko , rukshsha ya kasay swad hone se Kaphha ko thik karata hai, isiliye ise tino doshon ko thik karane wala phal mana jata hai
Doses; Ise 1 gramme se 3 gramme ki matra tak lena chahiye
############################
BAHERA, Latin: Beleric Myrobalans
Bahera pak mein madhur, kasaila sawad mein, kapha pitta ko nast karane wala, ushan virya yani garam, chchune mein thanda, dastavar aur khansi ki nasta karane wala hota hai, yah rukshsha netron ko hitakari, balon ko badhane wala, krimi tatha swarbehd ko nast karane wala hota hai
Doses; isake churna ko 2 gram ki matra mein tatha kadha banakr upyog mein late hain
################################
HARITAKI , Latin name; Terminalia chebula
Ise badi ya chchoti Harad ke naam se bhi janatey hain, Ayurveda mein isake nimana guna bataye gaye hain
* Yah swad mein kasaily hai * Yah rukhi, garam, udar agni vardhak, buddi ke liye hitakari, aayu ko badhane wali, netron ke liye phayademand, sharir ko pushta karane wali aur Vayu vikar ko shant karati hai. * Yah shwas, kas, prameh, bavasir, kusth, sujan, udar rog, krimi rog, swar bhang, visarp rog, grahani, vibandh, visham jwar, gulm, aadhyaman, vran, vaman, hichaki, kantha, hridaya rog, kamala, shool, aanah, pliha , yakrat ke rog, pathari, mootra krachch, mootra ghatadi rogon ko door karati hai.
Ise 1 gramm pratidin roganusar anupan ke saath lena chahiye.
################################
“NIGHNTU” , yah Sanskrit bhasha ka shabda hai, jisaka matalab Materia Medica se hota hai, Ayurvedic Nighantu, Ayurvedic dawaon, herbs athava dravya ke guno ko , apani vishesh style mein prastut karatey hai,
Yahan main usi style ya shaili ko lekar aapako Vargon yani Classification ke hisab se batabe ka prayas karunga, taki sabhi labhanvit ho sake
Yahan main Alphabetical tarike se dravyon yani Herbs ityadi ke bare mein bataunga


I 24yr OLD suffring from hair fall & no backgrond of hair falling plz give me suggest for hair fall control treatment
thanks
………..reply by Ayurvedician………..kindly see your reply in FAQ of this blog.