#############################
SARSAWATARISHTA
Yah arishta Mastishka sambandhi sabhi bimariyon mein upyog mein aata hai, jinaki yaddashta kamajor ho gayi hai, jinako naam , pata, kaam tak bhul jane ki bimari hai, jo padhane wale vidyarthi hain , jinako Psychological ya Psychosomatic bimari ho gayi ho, jinhe raat mein nind na aati ho, jo bhay, tanav itaydi se pareshan hain, ve isaka sevan kar sakatey hai
Tatparya yah hai ki, yadi kisi ko mashtishk se sambandhit vikar hon, chahe vah Aizimer’s disease ke syndromes hon, chahe vah Senile Dementia ke syndromes hon , yah aushadhi sabhi mashtishk vikaron mein prayog ki jati hai
Ise din mein do baar 15 se 30 ml barabar pani milakr , khana khane ke baad pina chahiye,
#############################
PUNARNAVASAV
Yah Punarnavasav , sharir mein vyapta sabhi prakar ki sujan,shoth mein bahut upakari hai, chahe jaisi sujan ho, gurde kaam na kar rahe hon ya kam kaam kar rahe hon to yah bahut upakari hai, isake prayog se sabhi prakar ke shoth, sujan, dropsy, oedema adi sabhi thik hote hain,
Ise yadi doosari shoth nashak dawaon ke saath prayog kiya jaye to sujan , dropsy aadi mein bahut jaldi aaram milati hai.
#################################
LOHASAV
Yah dawa Rakta ki kami, yani aneamia, sharirik kamajori, hridya rog, mastishka ke rog, durbalata, yakrat yani Liver ke rog, Pancrease se sambandhit rog, pachan vikar, mandagni, rakta vikar ityadi mein prayog ki jati hai,
Ise 15 se 30 Milliliter dogune pani mein milkar bhojan ke pashchat dono samay pi lena chahiye.
##############################
LODHRASAV
Yah peshab se sambandhit sabhi prakar ke vikaron mein prayog kiya jata hai
Isake sewan se Kaphaj Peameh, Pittaj prameh, Pandu, Arsh, Grahani ke dosh, aruchi, kilas namak kustha, tatha anya prakar ke kustha mein labh hota hai
Matra; 15 se 25 ml barabar pani milakar bhojan ke pshchat, subah aur sham
###########################
KUMARI ASAV
Yah Aloe Vera yani Ghrit Kumari se banaya gaya Ayurvedic kalpa hai
Ise Liver se sambandhit sabhi trah ki bimariyon mein, khoon ki kami, mahilaon ke kamar dard, mahilaon ke masik vikar, pradar, Lucorrhoea, Masik ki gadabadi, sharir ba bal badhane, kamjori door karane vali bahut achchi dava hai
Isako 10 milliliter se lekar 25 milliliter tak , barabar pani milakar, kkhane ke baad, dopahar aur raat mein din mein do baar lena chahiye
= = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = = =
Asav aur arist Ayurvedic chikitsa ke pramukh dwaon mein shamil hain. Yah bahut halke kote hain aur shighra hi pachakar sharir mein apna asar dikhatey hain. Inako jyadatar bhojan karane ke baad barabar matra mein pani milakar pitey hain.
Prayah sabhi asav aur arista bhojan ko shighra pachatey hain, pet saaf rakahne mein madada karatey hain, bhuk paida karatey hain aur pet mein banane wali gas ya vayu ka shaman karatey hain. Inamein mili huyi dawa ke prabhav se rog door hote hain.
Inhen bhojan ke baad prayog karatey hain, lekin kuchch paristithion mein inaka upayog khali pet bhi karatey hain.
Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी