Agnimukh churna
अग्निमुख चूर्ण
यह चूर्ण भूख को बढाने वाला, अग्नि दीपक, , कफ रोग, अजीर्ण, उदावर्त, उदर रोग, प्लीहा व्रद्धि, अर्श, गुल्म, कास, श्वास, यक्ष्मा, रक्त के अन्दर पैदा Toxic effects, Necrosis of any body parts में उपयोगि है ।
इसे गुनगुने जल, दही के पानी अथवा शराब या मद्य में पानी मिलाक्रर, के साथ १ से ३ ग्राम की मात्रा में दिन में दो बार सुबह शाम ,लेना चाहिये
###############
Agnimukh Churn Brahat
अग्नि मुख चूर्ण ब्रहत
इसे १ से ३ ग्राम की मात्रा में गुन्गुने जल, दही के पानी अथवा शराब में थोड़ा पानी मिलाकर सुबह शाम खाना चाहिये ।
यह अत्यन्त अग्नि दीपक है । यह १० या १५ मिनट के अन्दर सभी खाये हुये खाद्य पदार्थॊ को पचा देता है । इस चुर्ण को खाने का सबसे अच्छा तरीका यह है कि इसे भोजन के साथ मिलाकर खाना चाहिये । यह अजिर्ण, उदर रोग, गुदा के सभी रोग, गुल्म, प्लीहा, ग्रहणी, पान्डु, आन्त्र ब्रद्धि, अस्थीला, वात रक्त, कास, श्वास, प्रतिश्याय, क्षय, शोष, कफ़ज विद्रधि इन सभी रोगों को दूर करता है ।
####################
TALISHADI CHURNA
Yah churna nimna prakar ki takaliefon mein prayog ki jati hai
Matra: 1gramm se 3 gramm tak shahad ya roganusar anupan ke saath sewan karana chahiye
############################
SHATAVARYADI CHURNA
Yah churna shakti dene vala, durbalata door karane wala tatha sharir ka vajan badhane ke liye yani jo vyakti sharir se dubale patale hain aur vajan badhana chahtey hain, unake liye , jinako napunsakata, virya ki kmi ho, jinako shighra patan ki takalief ho , unake liye yah aushadhi upayogi hai
Jin mahilaon ke stan yani mamamery glands , achchi tarah se vikasit na huyi hon aur ve mahilayein , jinake bachche hone ke baad bachchon ko pilane ke liye doodh apekshshit matra mein na paida ho raha ho, unake liye yah aushadhi bahut upyogi hai
Ise 2 gramm se lekar 4 gramm ki matra mein pratidin, din mein do ya teen bar avashyakatanusar, shakkar mile mithe doodh se lena chahiye, jo shakkar ya mitha doodh nahin lena chahatey hain, ve sade pani se le sakatey hain, jinhein vajan badhana ho , ve doodh se hi lein.
##########################
PANCHASAKAR CHURNA
Is churna ko khane se Kabja, pet ka saaf na hona, mal ka tyag rojana na hona aadi vikar door hote hain
Is churna ki 3 gramm ki matra rat ko sone se pahale, sade pani ya halke garam doodh ke saath lena chahiye, subah ek dast aakar pet saaf ho jata hai
##############################
NITYANAND CHURNA
Yah roganusar anupaan ke saath khane se bahut se rogon mein kaam aati hai, yah nimana bimarion mein prayog ki jati hai
Matra; [Doses] ; 1 se 2 gramm tak, din mein do baar, subah aur sham
##############################
NIMBADI CHURNA
Yah churna Malaraia bukhar aur isake jaise sabhi tarah ke bukharon ke liye ek bahut shaktishali dawa hai, isake upayog se sabhi prakae ke malaria bukhar avashya thik ho jate hain, chahe yah bukhar rojana ek nishchit samay par aa raha ho, ya ek din chchodakar, ya do din chchodakar ya car din chchod kar, tez bukhar satat jwar, visham jwar ko thikkarta hai
Isake alawa yah churna yakrat se sambandhut, pliha se sambandhut aur in done se sambandhit sanhi rogon mein prayog karatey hai
Matra: Ise 1 se 3 gramm tak subah khayein , yadi takalief jyada ho to sham ko bhi ek khurak kha sakatey hain
##############################
LAVAN BHASKAR CHURNA
Is churna ka ayurvedic chikitsa mein bahut adhik upayog karatey hain, isaka karan yah hai ki , yadi yah churan bahut achchi tarikey shashtrokta vidhi se banaya jaye to yah tamama prakar ke rogon mein upayog karatey hain
Isake khane se Ajirna, mandagni, bavasir, hridaya rog , digestive system ke sabhi rog, mein ise upayog karatey hain,
Ise maththe ke saath ya dahi ke saath khane se ya bhojan ke saath khane se tamam tarah ke pachan sansthan ke rogon se mukti mil jati hai, yah bahut swadist churana hai, ise khane ke baad garam pani se bhi le sakatey hain , jinako Gas, pet mein gurgurahat aur pakana saaf na hone ki bimary ho, ve ise awashya khayein, unako labh milega
###############################
LAVANGADI CHURNA NO-1
Yah churna bahut si bimariton mein kaam ata hai, jin bimarion mein isaka upayog karatey hain , ve nimanusar hain
Agni dipak, Roachk, tarapak, balya, vrakhya aur tridoshahar hai, Urovibadhdha, chchati ki jakadan, Urahchchat, Tamak shwash, galagrah, Kantha roag, aruchi, kas, hikka, Yakshama, pinas, grahani, atisar, bhagandar, arbud, jwar, prameha, gulm aur Hridaya rogon ko nasta karata hai
Ise 2 ya 3 gramm ki matra mein din mein do baar roganusar anupaan se lena chahiye
############################
HARITAKYADI CHURNA
Yah churna Hridaya rog mein labhakari hai
Jinhe hrodaya rog hote hain, unake pet mein Vayu ka jab prakop hota hai tab hridaya rog ki samasya badhati hai, is churan ke khane se is tarah ki takaliefein shant hoti hain
Matra; 1 se 2 gramm tak , bakari ke doodh ya gunagune pani se
############################
HINGUASTAK CHURNA
Yah churna un logon ke liye phayade mand hai, jinako khana khane ke baad pet main bahut gas banati ho, dakarein khub aati hon, per phulata ho, kahana khane ke baad aisa lage ki gas bhar jane se pet phat jayega, bhukh na lagana, acidity hona aadi pachan sansathan se sambandhit bimarion mein yah upyogi hai
Ise khana khane ke pahale 5 ya 6 niwalon mein milakar kahan chahiye, isaki matra 3 gramm se lekar 6 gramm tak hai, yah is churan ke khane ka sabase behatar tarika hai
##################################
ELADI CHURNA [Yakshama Rogadhikar]
Is churna ko nimana bimaroyon mein parayog karatey hain
Matra: Ise 2 gramm churna, shahad ke saath din mein do teen bar sewan karana chahiye
##################################
CHOPCHINYADI CHURNA
Yah churna kai bimariyon mein prayog kiya jata hai
Matra: 1 se 3 gramm tak sade pani ya roganusar anupaan ke saath khana chahiye
############################
AVIPATTIKAR CHURNA
Jinhein ACIDITY, HEART BURN, KHATTI DAKAREIN, ACID JAISI VAMAN, Amlapitta ki takalief ho, ve is churna ka sevan kar sakatey hain
Ise Bhojan ke pahaley ke 5 niwale mein 1-1 gm ki matra mein milakar khana chahiye, yah acidity ki ek achchi dawa hai
#############################
ASHWAGANDHADI CHURNA
Yah churna sharir ki takat badhane wala, shakti pradan karane wala, vajan badhane wala, sex ki power badhane wala, manspeshiyon ko takat dene wala gunkarak hai. Yah braddha logon ke liye bahut upayogi hai
Jinhein koi rog ho chuka ho aur chahatey hain ki sharir mein takat aave, unako is churna ka upyog karana chahiye
Is churna ko 2 gramm ki matra mein thode se ghee mein milakar khayein aur phir baad mein ek paav doodh pi lein, ya phir 2gm churna khakar upar se shakkar mila dooddh pi lein
################################
################################
Ayurvedic churna ya powder ayurvedic chikitsa me mahatvapoorna sthan rakahatey hain, is chikitsa vigyan mein lagabhg sabhi bimarion ke liye churna maujud hain
Yah bahut saral aur surakshshit dawayein hain aur sabhi ise confidence ke saath sewan kar sakatey hain.
Main samay samay par jaise hi achchi se achchi janakari aur anubhav prapta hota hai , usi hisab se yahan is page par di gayi suchanaon ko update karatey rahatey hain, aur jo kamiyan dekhane main aati hain, unako door karane ka prayas karatey rahatey hain,
i like bhoot kahania please send bhoot kahania my email id
Namaskar, Meri Sister ki umar lagbhag 20 saal hai aur uska vajan 40 kg hai. 2 Saal pehle uska vajan lagbhag 55 kg tha aur vo dekhne mai tandrust thi but jabse vo job par jane lagi uska vajan ghatkar 40 ho gaya hai our dikne mai aisi lagti hai ke thodi tej hawa aai to vo ud jayegi. kya uske liye SHATAVARYADI CHURNA khana thik hoga? aur kya is churna ko kisi bhi mausam mai upyog kar sakte hai. Kya ye churna medical stores per uplabdh hai. kripya salah de.
i am interested in RISHIRAJ AYURVEDIC MEDICATED POWDER.
used for pimples and black spots on the face
if you carry it, how much do you charge to ship to canada
November 5, 2008 at 6:28 AM
I am Narendra i have visited your site and wanted to get some information related to one product named: “GAS VIDVANSAK CHURNA”.
Can you also send me some detail about this product like … What exact this product contains and for what purpose one should use this and from where i can get this..
Thanks
…………..@ Reply by Dr.D.B.Bajpai………….. Aapane jis dava ka naam likha hai, vah Ayurved ki shashtron me kahi gayi , athav likhi gayi dava nahi hai, ise shashtrokt dava nahi manate hai. yah kisi ayurvedic dava banane wali company ka Patent/ anubhut product hai , jise test nahin kiya gaya hai , balki anubhav ke aadhaar par kisi Vaidya/ Ayurvedic practitioner ne apana formula banakar bechana shuru kar diya hai. Is tarah ki dawaon ke baare mein jankari mujhe nahin hai, kyonki is samay pure desh mein lagabhag 30,000 [tees hazar] Ayurvedic dawa banane wali companies hai, jo apane apane patent/ anubhut yog bahut badi sankhya me bana rahi hai