KUPIPQVA RASAYANA कूपीपक्व रसायन
Ayurveda mein kupipaqua rasayan ka bahut mahatva hai, is shreni ki aushadhiyon ko ek prakar se sarvottam aushadhi mana jata hai, yah aushadhiyan roganusar anupan ke saath kahen se , sharir ke sabhi prakar ke rogon mein ati shighrata ke saath apana asar dikhati hai,
Kupi paqva rasayana ka banana ka tarika bahut hi vilakshshan tarah ka hai, hazaron varsh pahale se yah gyaan kaise Ayurved ke manishiyon ke mastishka mein aya, yah vichar karate huye, in manishiyon ki manasik dakshshata ka loha mana padata hai, yah asadharan upalabdhi varshon ki kathin tapasya ke pashchat hi prapta ki gayi hogi, isamein sandeh nahin
Baharhal, ye sabhi aushadhiyan bahut mahatvapurna hain aur inaka anupaan bhed se upayog karane se tamam tarah ke rogon mein prayog karane se rog mukti mein sahayak sidhdha hoti hain
Baluka yantra dwara banaye gaye , sabhi kupipaqua rasayan , yadyapi bahut sankhya mein hain, lekin jun rasayano ka dhik prayog hota hai, unhi ka yahan charcha kiya jayega, taki Ayurveda ke premi logon ko is baat ki janakari ho jaye, ki inake prayog kahan kahan hote hain
############################
Yah Ayurved ki ek sarvotkrast dava hai, jisaka bahut upayog hota hai, yah nimna bimarion mein kaam aati hai
Matra; 120 mgs se lekar 240 mgs tak din mein do baar adarakh k eras aur shahad ke saath milakar khayein ya phir roganusar anupaan ke saath khayein
################################
Inake alawa shashtron mein bahut se yog diye gaye hain, jinaka prayog avashyaktanusar Vaidya log kiya karate hain
January 30, 2009 at 10:37 AM
u have done excellent job