Ayurveda mein herbs ke guno ko manv sharir me surkshshit upayog ke liye, quath banane ki vidhi ka prachalan aadi kaal se kiya ja raha hai, decoction banane ki vidhiyan kai ek hain, lekin sabase behatar vidhi jo main prayog mein lata hun , vah saral aur bina jhanjhat ki hai
Kadha banane ka tarika: ek ya do chay ke chammach ke barabar kadha ki mota mota powder kiya hua dravya, ek cup pani mein dalkar kewal ubal lein, ek ubal aan kaphi hai, ismein shakkar ya chini milakar chchan lein aur gunaguna hote pi lein
Is page par ayurveda mein upayog kiye jane wale kadhon ka varnan Alphabetical tarike se kiya jayega
##################################
ABHAYADI QUATH
Yah Quath din mein do bar pina chahiye
Uses:Is quath ke pine se Jatharagni tivra hoti hai, pachan kriya sudharati hai, tridoshaj bukhar mein lag rahi pyas, sharir mein jalan, vaman, shish, aruchi, tandra, pralap, kas, shwas, vibandh, mootra bandh aur apan vayu ke avarodh ko door karata hai, yah kadha pet ki gas, pakhana saaf lane wala tatha peshab khulakar lane wale guno wala hai
#############################
DASHAMOOL KWATH
Yah kadha, Tino doshon se utapanna sabhi prakar ke jwar, khansi, shwash, jamhaiyan aana, ardh behoshi ki bimari, Pith ka dard, kamar ka dard, Shir ka dard yani shirah shool, sujan, pet ki gas, bhukh ka na lagana, Hriday rog, Prostatitis, Bavashir, Migraine ke sabhi prakar, Puran bukhar, Joints pain, Mahilaon ke sabhi vikar, jo garbhshaya ya masik chakra se sambandhit hon , ye sab thik ho jate hain
Ise din mein ek ya do bar pina chahiye
#############################
DHANYA PANCHAK KWATH
Yah quath Dipak aur Pachak hai, isake sewan se nimana bimarion mein phayada hota hai
· Aam yani Mucous Colitis
· Shool yani Abdominal Colic
· Atsar yani Loose stool ya Diarrhoea
· Ameabic colitis
· Bloody dysentery
· Bloody diarrhea
Ise din mein do ya teen bar pina chahiye
##############################
NAYAGRODHADI QUATH
Ise anya aushadhiyon ke anupaan ke saath ya phir akele hi sewan kar sakatey hai, yah nimn bimarion mein kaam aata hai
Ise din mein teen char baar aavashyakta ke hisab se lena chahiye
#############################
PUNARNAVASTAKA QUATH
Yah kadha pine se sare sharir ki sujan yani sarvang shoth, Udar rog, Udar shool, shwash, Pandu rog, parshwa shool ko dur karata hai
Ise subah sham din mein do bar pina chahiye
############################
PATHYADI QUATH
Yah kadha nimna takaliefon mein kam aata hai
Yah quath Udar, haath, pair aur mukh mein ho rahi sujan ko door karta hai, is quath ke pine se durbal agni sabal hoti hai, pachan kriya sudharati hai, pet saaf hota hai aur isake pine se peshab bahut hoti hai , jisase sharir ki sujan thik ho jati hai
Matra: Ise subah sham do bar swatantra roopse lena chahiye ya phir kisi aushadhi ke saath anupan rup mein upayog karana chahiye
############################
RASNADI KADHA
Yah kadha, kamar dard, badan dard, jodon ke dard, manshpeshiyon ke dard, sharir ke sabhi dardon mein prayog karatey hain, kuchch dinon tak prayog karane se sthayi labh ho jata hai, yah bahut achcha herbal pain-killer hai.
############################
VATSAKADI KWATH
Yah kwath nimna bimarion mein upayog karatey hain
Doses; Ise din mein do ya teen bar pina chahiye
October 20, 2009 at 2:30 PM
what is harbel tea
October 20, 2009 at 2:32 PM
harbel tea ke fayde batao