RAS aushadhi of AYURVEDA have a very important place in the treatment of ailments. “RAS” Literal meaning is “MERCURY”. By special process of purification of mercury, the toxicity of the Mercury is upto that extent minimises, where Mercury becomes edible and converts its inherent property for healing of the huan body ailments.
In Ayurveda Crude MERCURY is never used for medicine purposes.
Ayurveda mein turant aur shighra prabhav kari Ras aur Kharaliya Rasayan ki aushadhiyan bahut prayog mein aati hain,
In Aushadhiyon ka parichay aur karya, tatha gun dharma, samayanukul ALPHABETICAL STYLE mein prastut kiye jayeinge.
################################
हेमनाथ रस Hemnath Ras
इस औषधि का निर्माण आयुर्वेद की उत्कृष्ट भस्मों और दृव्यों को मिलाकर किया गया है / इसे बनाने का तरीका और योग मिश्रण इस प्रकार है / शोधित पारा, शोधित गन्धक, सोना भस्म, सोनामक्खी भस्म , यह सभी १२ ग्राम / लोहा भस्म, प्रवाल भस्म, कपूर,वन्ग भस्म यह सभी ६ ग्राम / सभी द्रव्यों को खरल में डाल दें / अच्छी तरह घोंटें / अब इसको पोस्त के डोडे के काढा से सात बार भिगो कर सुखा लें यानी एक बार भिगोया और सुखाया फिर दूसरी बार भिगोया और सुखाया / ऐसा ही क्रिया सात सात बार भिगोने और सुखाने का काम केले के फूल का रस और गूलर के फल के रस के साथ भी करें / यह दवा डायबिटीज के इलाज के लिये तैयार है /
इसे गिलोय के रस के साथ १२५ मिलीग्राम की मात्रा में देने से चाहे जसी डायबिटीज हो अवश्य ठीक होती है / इसे किसी भी मधुमेह नाशक चूर्ण अथवा काढा के साथ भी दे सकते है /
इस दवा को सुबह देना चाहिये , एक ही खुराक काफी है / यदि अधिक तकलीफ हो तो शाम को भी एक खुराक दे सकते है /
डायबिटीज ठीक हो जाती है यदि जीवन शैली, खानपान में परहेज और आयुर्वेदिक दवायें सही सही ली जायें / डायबिटीज कम की जा सकती है, यदि स्वास्थय के प्रति जागरुकता बनाये रखी जाये /
=============================================
BAL ROGANTAK RAS
Ise shahad ke saath khilane se ya mata ke dudh ke saath dene se Bachchon ke sabhi prakar ke rog aur bimariyan door hoti hain, yah balakon ke sabhirogon ko door karane ke liye ek mahan dava hai Isake sevan se balkon ke vishesh roop se Tridoshaj rog, tivra aam jwar, aur sabhi prakar ke kas rog door hote hainYah bachchon ki Pneumonia janya takalifon, bachchon ki jivani shakti badhane aur rog ke baad utapann huyi durbalata ko door karata hai
Ise din mein do bar dena chahiye
################################
GANDHAK RASAYAN
Is rasayan ke upayog se sharir mein dradhta aati hai aur bal, virya ki bradhdhi hoti hai tatha sharir mein takat aur urza prapta hoti hai, yah medha shakti ko badhata ha, bhukh ko badhata hai, balon ka safed hona, bal girana, rakta vikar, sabhi prakar ke kustha, nadi bran, bhagander, kosthagat rog, poisoning, kando, atisar, grahani roga, shul, tivra aamvat, vatrakta, somrog, sab prakar ke prameh, jirna jwara, aadi sabhi rogon mein roganusar anupan ke saath upayog karatey hain
Doses; 500 milligramm ki ek matra subah aur ek sham ko rog ke anusar anupan se lena chahiye
################################
PIYUSHWALLI RAS
Yah ras jatharagni ko badhane wala yani bhukh lagane wala aura am ka pachan karata hai. Isake swan karane se sabhi tarah ke atisar yani diarrhea, chronic dysentery, amoebiasis, mucous colitis, pravahika, jaundice, hepatitis, swelling, edema, heamorrhoids, piles, prolasus of rectum, rectal pain, colic, constipation, udar rog, flatulence, spleen, pliha, gulm, jwar, , anekprakar kid ah aur pyas, hrallas, ji michalana, vaman, aruchi, sutika rog, asragadar, bandhyatava, twenty types of Prameh,
This removes the sterility of women, helps in infertility of women
Doses; 1 pilles daily , morning and evening with roganusar anupan
#############################
TRAILOKYA CHINTAMANI RAS
Is aushadhi ke vishay mein bataya gaya hai
· Yah Uttam Rasayan hai
· Vata roga
· Vidradhi
· Shool
· Pandu
· Halimak
· Grahani
· Raktatisaar
· Shotha
· Pliha
· Udar Rog
· Jalodar
· Mutraghat
· Ashmari
· Prameh
· Bhagandar
· Pyas,
· Sabhi Prakar ke jwar
· Sabhi Prakar ke Kustha
· Sabhi Prakar ke Saadhya aur Asadhya rogon mein upayog
Matra: 10 mgs se 40 mgs tak , roganusar anupan ke saath, din mein do samay, subah, shaam sewan karana chahiye
#############################
YOGENDRA RAS
Yah Ayurved ki ek utahrashta aushadhi hai, ise Emergency medicine kahana jyada upayukta hoga, Koi bhi EMERGENT CONDITION ho vahan isaka upayog shighra phaladayak hai
Hridaya rog, mashtishka ke rog, Paralysis, samast Vat Vikaron mein isaka prayog karatey hai
Ise 125 milligramm ki matra mein din mein ek ya do khurak shahad se lena chahiye
##################################
SHIRAHSHULADI VAJRA RAS
Yah Sirdard, Migarine, Cluster Headache, tatha tamam prakar ke known aur un-known karno se hone wale sirdard ki bahut achchi dava hai. Jinako adhashishi ka sirdard, jinako Surya ke uday hone aur asta hone tak sirdard hota ho, jinako kisi bhi prakar ka sirdard ho , ve is dava ke khane se labh utha sakatey hain
Ise din mein do bar , subah aur sham , 250 milligramm ki matra mein sade pani ya shahad, ya dashmool kadha ke saath lena chahiye ya phir roganusar anupan ke saath khana chahiye


its very good work to make people aquint of this system of medicine.keep it up.
aap garbhsanskar per mujhe detailed information de sakte hain kya
Kamna bahen aap swami dayanandji lihit sanskar-vidhi book padhe,aapako tamam jankari miljayegi.
Dear Sir,
I am having bhagandar from 5 years. Can you give treatment for that.
Thanking You
Best Regards
Thilakasiri Vitharanage.
………..Reply by Dr. D.B.Bajpai………..If you are serious for the treatment of your BHAGANDAR complaints, better you go firstly for ETG scan, this will provide you data of your whole body to decide, what you have other troubles apart from this complaints. ETG scan will help you in the treatment without any deviation. This is the correct way of the medicinal treatment. If you like surgical Ayurvedic procedure, go for KSHAR SUTRA treatment, this will also help you to cure your problems. Now, it is upto you, which one you like to select according to your convenient and choice. Thanks.
Thank you very much for your great service.
r/sir.
as discussed on phone regarding my wife suffering chronical dieses like sugar, joints pain, B.p. asthama . Shortly ishall be visiting your clinic/ research centre mean while i will request you to pl suggest diet for above patient.
regards
Dpsingh
D-21, NFL town ship.
G.T. road. panipat
Haryana
PIn 132106
i have only one probelem that is the sickness.
………..Reply by Dr DB Bajpai…………Mental sickness or physical sickness ……….which one ?
AAPNE IS SAMSKAR KE BARE ME JANNE KEE ICHCHHA VYAKT KEE YAH AAJ KE YUG ME BAHUT PRASHANSNEEY BAT HAI. AAP AAJ KE YUG ME AISI ICHCHHA VYAKT KARNE WAALEE SHAAYAD EK HEE MAHIL HONGI ANYATHA IS SAMSKAR KO TO BHULA DIYA HAI AUR BAAD ME SANTAAN MANONUKOOL NA HONE PAR ANEK VIPATTIYON KA SAAMNA KARNA PADTA HAI. AAPKE IS SHUBH ICHCHHA KAR AADAR KARTE HUE MAIN ATI SAMKSHEP ME KUCHH VYAKT KAR RAHA JISE AAP VASTVIK ROOP ME MAHATVA DE KAR VYAVHAR KAREN TO SHUBH PHAL PRAPT HONE KE PRATI ASHAANVIT HO SAKTEE HAIN. ISEELIYE AAPKO NIMNANUSAR SALAH DENE KA VICHAR PRASTUT KIYA JA RAHA HAI.
Yah samskar sabhi samskaron me mahan hain kyonki agantuk vyakti ke jeevan ka prarambh isi samskar se hota hai. Yah kis prakar kiya jaye yah is bat par bhavi maata pita dono hee ko gambhir vichar karna chaahiye. Vartman samay me garbhadhan karne ke ashay se pati patni sambhog nahi karte evam sambhog ke samay evam samkhya ka bhi dhyan nahi rakhte kewal indriya sukh prapt karne ke liye patni ko bina kisi poorva taiyari ke jab samay mila vivash kar dete hain.
Yah samskar pati patni ko sambhog kis din, kis tithi evam kis muhurt me karna chaahiye is par hamaare granthon me vishesh prakash dalaa hai. Iske saath hi yah bhi mahatwa poorna hai ki pati patni kee mansik sthiti evam vatavaran ka bhi atyadhik mahatwa hai. Kis tithi evam muhoort me na kiya in nishedhon ka vishesh dhyan bhi rakhna chahiye. Din me, ritu kaal me, bhay kee awastha, tyohaar ke din aadi anek nishedhon par bhi vishesh dhyan diya jana chahiye. Ek bar sambhog kee tithi niyat karne ke pashchaat santanootpatti ke drishtikon se hi samaagam karne ke pashchat garbh dharan no ho to punah uchit tithi ka nirdharan karne ke poorv samagam na karen.
IN SABHI BATON KE BARE POORN VIVRAN JANNE KE SWAMI SATYANAND SARASWATI KEE PUSTAK “SAMSKAR VIDHI” KE GARBHADHAAN SAMSKAR KO SWAYAM PADHKAR NIRDESHIT VIDHI KA PAALAN KARE. YAHA SAMPOORN VIVRAN LIKHNA SAMBHAV NAHI HAI. YAH PUSTAK ARYA SAMAAJ KE DWARA PRAKAASHIT KEE JAATI HAI PRAYAS KARNE PAR BADE PUSTAK VIKRETA KE PAAS UPLABDH HO SAKEGI. JAB TAK PRAPT NA HO TAB TAK GARBH NIRODHAK UPCHAR KARTEE RAHEN. ITI SHUBHAM
Sir mujhe 2 saal se bhagandar hai
………..reply by Dr DBBajpai………..aap isaka yani bhagandar ka ilaj ya to ayurvedic davao se ya homoeopathiv davaon se karayein to sabase achchaa hai, in dono hi chikitsa vidhiyon se bhagandar thik ho jata hai
mere pas bahut se aise rogi aaye hai jinhone kai kai bar surgical opration ke jariye bhagandar thik hone ki koshish ki lekin unako dubara tibaraa chaubara bhagandar ki shikayat ho gahyi, ujhe ek rogi aisa bhi mila jiasne 9 baar operation karaya aur phir bhi usaka bhagandar nahin thik huaa, maine is rogi ka bhagandar Homoeopathic dava se thik kiya
kahane ka matalab yah hai ki behatar ilaj chahate hai to ayurved ya homoeopathi ke kisi expert doctor ko dikhakar ilaj karayein, navsikhiyon se ilaj na karayein yahi behatar hai, ayurved ka KHAR SUTRA chikitsa bhi kaphi labhadayak hai
jitani jaldi ho sake isaka ilaj shuru kar de aur der n kare
Dear sir,
meri sadi ko 1.5 sal ho gaya he, or ham do no ki aayu 25 sal he.
Ab ham santan k bareme soch rahe he.
3/4 mahine se prayas kar rahe he, lekin abhi tak asafal he.
To hame ko TIPS bata a, taki aage k liye saralta rahe or safalta mile.
………..reply by Dr DBBajpai………..agar agale six months tak pregnancy na ho to aap apanaa aur apani patni dono kaa check up karayein aur kisi Gyno doctor se slaah le
sir,
aapke kehne ke anusar mene or meri wife ne gyno doctor ki salah li.
Unhone ku6 aasan batae or ku6 tips bhi di.
Muje HSE test karva ne ko bola or wife ke bare me kaha ki next month mc date 2 or 5 k bich me firse dikhane lau. Or mera HSE kya atahe vo bhi unhe dikhau.
Me unhe kal dikhane jane vala hu par socha pehle aapki bhi rai lelu.
report : quantity = 1.5 ml, colour = whitish, viscosity = viscous, pH = alkeline.
Spermatozoa count = 10 million/ml,
actively motile = 35%
sluggishly motile = 30%
non motile = 35%,
pus cells = 4-5/hpf,
red cells = 1-2,
epithelial cells = 1-2.
Sir,
ab aphi bata a me kaya karu. Koi a6a ilaj he.
Agle mahine wife kabhi test to karvahi lunga par mere liye koi ilaj jo me abhi se suru kardu.
Meri saadi ko do saal ho gaye. Meri age 28 or meri patni ki agd 32 he. Ham 4mahinese garbh rakhane ki kosis kar rahe he. Or abhi tak asafal he. Hamne ek baas 1mahine or 10din ka bacha davai lekar giraya tha. Ab ham santan prapti k lie kya kare aap kuch acha upay bataye. DHANYAVAAD
………..reply by Vaidyaacharyaa………..aapaka rog KAST SADHYA / ASADHYA ROG ki shreni me aataa hai, ap chahate hai ki apaka rog dur ho aur AYURVED ki aushadhiyon se apana rog thik karana chahate hai to hamari sabse achchi salah yah hai ki ap niche diye gaye vidhan se yadi chikitsa karayenge to avashy ROG SE MUKTI MIL JAYEGI
STEP-1 ; Sabase pahala apana ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein
STEP-2 ; Parikshan ke uparant apaki takalif ka job hi conclusion hoga, us ke hisab se apako davayein di jyengi
STEP-3 ; Bataye gaye parahej ko kuch samay ke liye chalate rahe
STEP 4 ; har 15 din ya ek mah ke antaral par apana chekup karate rahe aur davayein continue rakhe
Apaki bimari ke hisab se apako 120 din se lekar 240 din tak dava khana pad sakata hai, itane din ilaj karake aap ko rog mukti mil sakati hai
This is the correct approach of the treatment of your ailments. YAH AAPAKI BIMAARI KA JAD MUL SE THIK HONE KA SAHI AUR SATIK AUR ACHUK ILAJ KA RASTA HAI
i am 38 yrs. i have so type of infection in my right side down side on leg .i have taken all type of medicine . my problem is i have 1 day fever up to 103 and my leg get reddish &solin if i stand 5 mim.it get solin.(sugen )
………..reply by Vaidyaacharyaa………..aapaka rog KAST SADHYA / ASADHYA ROG ki shreni me aataa hai, ap chahate hai ki apaka rog dur ho aur AYURVED ki aushadhiyon se apana rog thik karana chahate hai to hamari sabse achchi salah yah hai ki ap niche diye gaye vidhan se yadi chikitsa karayenge to avashy ROG SE MUKTI MIL JAYEGI
STEP-1 ; Sabase pahala apana ek ETG AyurvedaScan parikshan karayein
STEP-2 ; Parikshan ke uparant apaki takalif ka job hi conclusion hoga, us ke hisab se apako davayein di jyengi
STEP-3 ; Bataye gaye parahej ko kuch samay ke liye chalate rahe
STEP 4 ; har 15 din ya ek mah ke antaral par apana chekup karate rahe aur davayein continue rakhe
Apaki bimari ke hisab se apako 120 din se lekar 240 din tak dava khana pad sakata hai, itane din ilaj karake aap ko rog mukti mil sakati hai
This is the correct approach of the treatment of your ailments. YAH AAPAKI BIMAARI KA JAD MUL SE THIK HONE KA SAHI AUR SATIK AUR ACHUK ILAJ KA RASTA HAI
DR.SAHAB.NAMASTE.2 MAHINE PAHLE MERA PERIANAL ABCESS KA SURGERY HUI.AB PHIR GHAANT HO GAI HAI.PUS NIKAL RAHA H PEHLI SURGERY SE.DR.NE X.RAY KARAYA AUR KAHA KI FISTULA H.SURGERY HONI H.KRIPYA BATAYE ME AB KYA KARU.BAHUT TENSION ME HU.DHANYABAD.
dr sahab meri age 25 years hai aur mujhe eh 7 months ki beti hai. dr sahab muje last 10 months se face pe jhayiyan ho gayi hai jisase mera face bahut kharab lagta hai kripa kar k mujhe koi sasti aur asardar dava batayein .dhanyavad
sir i was suffering from ulcerative colitis from last two year and i was taking allopathi medicine doctor says there is no parmanent relife in allopathi if there is any treatment and also i am taking ayurved with this mainline treatment but in my stool blood coming and pus or mucus in stool and how long time to take for complete cure thanks!
………..reply by Dr DBbajpai………..Intestinal problems takes time for relief or cure. Allopathy medical system have no any specific treatment or total cure in their science for Ulcerative colitis. So is of little hope with the Homoeopathy treatment. You have only option of AYURVEDA and other is Nature-cure treatment. If you want to over rid of your Ulcerative colitis problem, you should consult to any ayurveda physician of your choice or nature cure center of your ease.
Bhagander kis prakar hoti hai kya lakchan dikhai padte hai aur iska kaise khatma hoga.
Garbh dharan ke 9 mahine tak khan pan and santan gori paida ho iskey liye upaye batai.
I wish to know more about EKANGVIR RAS.Could you send me the details.regards,
ar51bpl@gmail.com
Dr. sahab mujhe 3 saal pehle anal fistula hua tha jiska ilaz main 9 mahine agra ke ek M.D. dr. C.K. se karwaya tha. jo bilkul thik ho gaya tha.ab mujhe phir se ek chhota sa bhagandar ho raha hai . kya mujhe phir se unse ilaz karwana chahiye…unhone ilaz mein ek dhaga bandha tha.aur thik ho gaya tha..agar iska ilaz lambe samay thak na karaya jaye to kya problem ho sakti hai ? pls Dr. koi acchi salah de mujhe bahut dard hota tha dhage dalte samay…koi bina surgical wala ilaz bataye..plssssss
dector maine urine test karwya usmain PUS cell/ HPF 4_6 iska kiya matlab hai . urine se blood ane ku kon si wahja hoti hai
mere sir me kuch safed baal hai.kya inhe jad se nikalna theek hoga.mere baal safed hote ja rahe h. m apne safed balo ko ya to theek karna chahti hu ya jad se nikalna chahti hu please muze bataay ki sir se safed baal nikalna baki balo ke liye acha hota h ya nahi or mere safed balo ki problem ka b koi solution bataay. please
………..reply………..si ke baal ukhadkar yaa kisi chimati se nikalkar koshish karati hai to isase apake bal aur jadi safed ho jayenge, jaisi dusari bimariya hoti hai usi tarah safed bal bhi hote hai, isaliye balon ka ilaj bhi bimari samajh kar kre,
sabase achcha hai ap apne najdik ke kis ayurvedic ya homoeopathic chikitsak se salah le aur usase ilaj karaye,
ETG AyurvedaScan parikshan karakar ilaj karayengi to avashy phayada hoga
sir mujay 14 sal su urine may albumin ata hai bhut treatment kara hai magar abi thik ni hua hai. body may bhut kaamojri raythi hai.
Mere dato par pile dag jam gaye hai unhe nikalneki koshish bahut ki lekin nikalnahi rahhe muzhe lagta hai ki payoria hogya hai
muzhe ilag batai
mere pait meh dhahran hoti rehti hai keise bach saktah hu is problem se
……….reply………..ap apani janch karaiye aur apane pas ke kisi Ayurvedic ya homoeopathic ya allopathy yaa any chikitsa practitioners ko salah lekar ilaj le
Kripaya garbhashaya gulm ke samasya, lakshan tatha chikitsha ki jankaree dijiye
main bavasir se bahit pareshan ho teen baras se hai mager abi char maheno sai bahot jada dard plese muze elaj batiye mera vajan 102 kg hai badi krapa hogi
………..apa pane najdik ke kisi Ayurvedic ya ayush doctor se salah lekar ilaj karaiye
meri shaadi ko 3 months ho gaye hain, lekin ab tak concieve ni ho raha. kripya iska hal batayein
Namaste Sir. mujhe pitashya m 17 mm ki pathari h. bahut dawa le chuka hu koi fayda nahi hua.plz koi ayurvedic dawa bataiye jisse pathari nikal jaye. Thank You Sir.
Respected Sir , i want tridhari kandabael ras if u know this item plz send me details on my id.
oxoxox@gmail.com
Dr.saahab aapke is mahaan khoj k liye bahut bahut mubaaraq ho.aur rasaushadhi gyan k liye bhi bahut bahut dhanyawaad ayurved k liye aapki khoj 1 misaal hai .
…………..reply………..apaka bahut bahut dhanyavaad