Homoeopathic chikitsa vigyan ke janak Dr. Sammuel Hahnemann ke samakalin Dr. W. Sussler ne ek naye tarike ki chikitsa vigyan ka dava kiya, ki sharir ke ander kuchch aise salts hote hain , jinaki kami se bimariyan paida hoti hain , aur yadi un bimariyon ko thik karana hai to un salts ki purti kar dene se, ye bimariyan thik ho jati hain
Yadyapi, practical roop se yah sahi hai aur dava dene se marij ya rogi vyakti theek bhi ho jata hai, isaki dava banane ki prakriya Homoeopathy ki tarah hai, aur dava ka chunav bhi Homoeopathic chikitsa vigyan se milata julata hai, isiliye is Biochemic vigyan ki davayein Homoeopathicchikitsakon dwara bahut prayog mein ki jati hai
Is page mein BOCHEMIC KI BARAH dawaon ka prayog batalaya jayega, jisase pathak gan labh utha sakein
###############################
BIOCHEMIC KI BARAH DAWAYEIN
Biochemic chikitsa vigyan mein nimn 12 dwayein prayog mein laate hain
1- CALCAREA FLOURICA
2- CALCARIA PHOS
3- CALCAREA SULPH
4- FERRUM PHOS
5- KALI MUR
6- KALI PHOSPHORICA
7- KALI SULPHURICUM
8- MAGNESIA PHOSPHORICUM
9- NATRUM MURIATICUM
10- NATRUM PHOS
11- NATRUM SULPH
12- SILICEA
is prakar yah 12 dawayein ho jati hain, lekin German ke Homoeopaths ne kuchch adhik dawayein inamein jod di hai, aur unaka kahana hai ki isase is chikitsa vigyam mein aur adhik puranata aa jati hai, yeh davayein Homoeopathy de li gayi hain, isaliye Homoeopathic chikitsakon ko , jitani bhi dawayein addition mein jodi gayi hain, unake baare mein gyaan hota hai
In dawaon ke upayog, doses, repitition nimna prakar se hain
DOSES: Adhikatar Biochmic ki dwayein 6X potency mein istemal ki jati hain, yah anubhav karake dekha gya hai, ki 6 X potency achcha kam karati hai,
Potency ke bare mein bata dun, kiyah ek prakar ka dava banane ka process hai, vidhi hai , ji aushadhi ke mool dravya ko aduon mein baant deti hai, isa prakar jo bhi aushadhiyan khatey hai, ve atoms mein tooty huyi hoti hain
Davayein kaise banati hain , isako main samkshshipt main batata hun,
Biochemic davayen banane mein SUGAR OF MILK ya Milk Sugar ka prayog karatey hain, ek hissa mool dava ka dravya aur 9 hissa sugar of milk ka lete hain, isako Mortar aur Pestal ki sahayata se ek nishchit prakriya ko follow karake banatey hain, jab yah thik prakar se ghut jati hai tab ise us dava ka 1 X ya 1 Decimal kahatey hai, yah dava ki pahali shakti bhi kahi jati hai, is prakar se maan lijiye ki 1 gramm dava ka mool dravya hai aur 9 gramm Sugar of milk hai to prati gramm dava ka contents hoga 100 milligramm, ab is 1X ka 1 gramm lekar phir 9 gramm sugar of milk mein milatey hai aur phir ghotatey hain, yah 2X potency kahi jati hai, is 2X mein mool dava ka dravya ek gramm me hoga 10 milligramm, isis prakar se aage ki potency banatey hain , aage ki potency mein mool dava ka ansh prati gramm 3X mein 1 milligramm, 4X mein 0.1, 5X mein 0.01 , 6X mein 0.001, isase adhik potency ka isi prakar se hisab kaga sakatey hain
Is prakar dekhatey hain, ki mool dravya jitana hi kam hota jata hai, dava ki power bhi utani hi, badhati jati hai, aur gunakari hoti hai
###############################
CALCAREA FLOURICA 3X / 6X /12 X / 30 X aur adhik 200 X tak
Is dava ke do hi most significant lakshshan hain 1- sharir ka koi ang shithil ho gya ho, ya phir 2- sharir ka koi ang patthar jaisa kada ho gaya ho
In do baaton ke alava isake kuchch charitra gat lakshshan hote hain , jisake aadhar par is aushadhi ka chunav karatey hain
Ise din mein kai baar avasyakatanusar kahan chahiye
################################
CALCAREA PHOS 3X / 6X / 12X
Yah dava nimna lakshshano ke anusar prayog ki jati hai
Doses; 200 mgs trituration / tablets, three or four times a day
####################
CALACAREA SULPH 3X, 6X, 12 X and more
Niche likhi bimariyon ki dasha mein isaka upayog karatey hain
Matra; 200 mgs should be taken three or four times a day
####################
FERRUM PHOS 3X, 6X, 12X and above
Yah biochemic ka salt niman bimariyon mein bahut kaam aata hai
Matra; 200 mgs per dose repeat 3 or 4 hourly
#################
KALI MUR 3X, 6X, 12 X and more
Yah dava nimana rogon ya rogon ke lakshshano par istemaal ki jati hai
Matra: doses; 200 mgs per dose, should be repeated 3 hourly
#################
KALI PHOS 3X, 6X, 12X and more
Yah dava nimna bimarion mein kaam aati hai
Matra : 200mgs , three four times a day
###########################
KALI SULPHURICUM 3X, 6X, 12 X and more
Is biochemic dava ko nimna bimarion mein upayog karatey hain
Matra; 200 mgs din mein teen char bar khana chahiye
###############################
MAGNESIA PHOS 3X,6X,12X and more potency
Yah dava nimna bimarion ki stithi mein kaam aati hai
Matra ; Ise garam ya gunagune paani ke saath dena chahiye, isase yah jyada asar karati hai, din mein kai baar aawashyakata ke anusaar de sakatey hain
##############################
NATRUM MUR 3X, 6X, 12X and more
Yah niman bimarion mein prayog ki jaati hai, ise common salt bhi kahatey hain
Isake alava yah dava anya bahut se rogon ya rogon ke lakshshano mein kaam aati hai
###################
NATRUM PHOSPHORICA 3X,6X,12X and more
Yah dava nimna rogon ya rogon ke lakshshano mein prayog ki jati hai
Isake alava yah dava anya bimarion mein bhi kaam aati hai
Matra; 200 mgs , three four doses per day
NATRUM SULPHURICUM 3X,6X,12X and more
Yah nimna bimarion mein prayog ki jati hai
Isake alawa bhi is dava ka lakshshananusar prayog karatey hain
Matra : 200 mgs din mein teen char bar ya aavashyakatanusar sevan kar sakatey hain
SILICEA 3X, 6X, 12X and more
Yah dava nimana bimarion mein kaam aati hai
· Kisi bhi phunsi ya phoda ko shighra paka deti hai aur mavad jaldi paida karake shighra hi sukha deti hai
· Used for ulcers and boils , who did not discharge
· Use in more advanced diseases of nervous system
· Forms of parlysis
· Spasms
· Rheumatism Knee joints and Limbs
· Strengthen Mind and body
· Give best results to those who have Lack of Courage
· Those who have inferiority complex
· Psychosomatic disorders
Matra ; For mental cases give high potency i.e.200x , weekly one dose, for other uses , Lower potency
December 28, 2008 at 3:28 PM
My son aged 17 yrs has injured his right knee about a week ago. I have not given any alopathic treatment. I am giving Calcarea Flour 6X and Pherum Phos 6X four times a day. Also I am giving Laakshadi Guggul 2 tabs thre times a day. There is improvement but slow. Can I increase potency of Bio chemic medicines form 6X to 12 X?