आयुर्वेद: आयुर्विग्यान:आयुर्वेदास्कैन:ई०टी०जी०:आयुषमन::AYUSH Therapies

HOMOEOPATHIC MEDICINES: Mother Tinctures होम्योपॆथिक औषधियां : मदर टिंक्चर

 

 

Homoeopathic Mother tinctures are used widely in Homoeopathic practice for safe recovery of patient and his / her ailments.

I used moher tinctures with great confidence in my practice. Prescribing of Mother Tinctures are alaways result oriented. Mother tinctures acts fast because of their easy assimilation due to containing alcohol, which is assimilated by Gastriintestinal tract very  fast.

My first choice is Homoeopathic Mpther tinctrue, when I need to provide sure, wihtout deviated ,quick and certain relief of my patient with safe recovery.

Mixture of mother tincture is allowed, if patient complaint demands.

Lower decimal scale potencies are also advisable in case of requirement of prescribing.

############################

Veronia Anthelmintica

 

यह होम्योपथिक का मदर टिंक्चर निम्न बीमारियों में प्रयोग की जाती है ।

 

·        has a remarkable anti-helminthic property

·        Thread Worm infection

·        Troubles caused by Worms

·        Nocturnal Enuresis

·        Grinding of teeth during night

 

मात्रा : १० से १५ बून्द दवा आधा कप पानी में मिलाकर दिन में दो बार पीना चाहिये ।

############################

THLAPSI BURSA PASTORIS Q

Yah dava mahilaon yani strion ke liye bahut achchi hai aur mahilaon ke liye hi jyada tar prayog mein laate hain. isake upayog niche likhe jaye hain

  • Yah anti Hoemorrhagic medicine hai, isaliye metrorrhagia yani masik se bahut adhik khoon aana aur isake saath kamar dard aur pet dard  door karata hai
  • Jinake urik acid adhik ho yani inceased Uric Acid ho
  • Uterine Fibroid
  • Uterine Heamorrhage
  • heamaturia,
  • Chronic cystitis
  • Uterine pain
  • Must be used in any uterine problems

Doses; 10 to 15 drops,  AADHA CUP PANI KE SAATH , din mein kai baar

 ################################

SABAL SERRULATA Q

Yah homoeopathy vigyan ki safalatam dawaon mein hai, jo bahut kaam ki hai.

Is dawa ke upayog se PROSTATE tatha Men’s Sexual Organs se jude tamam taklifon mein shighra aur tezi se phayada pahuchane wali dawa hai, Prostate aur usase judi huyi bahut si takaliefon ko yah dawa kam kar deti hai,

Ise 20 se 25 boond ki matra mein 1/2 cup pani mein milakar din mein takalief ke anusar 3 se char ghantey ke antaral se kahana chahiye

#################################

RAULFIA SERPENTINA Q

Yah ek bhartiya jadibuti se bani dawa hai, jise Homoeopathic upayog ke liye banaya gaya hai, isaka hindi naam SAPAGANDHA hai,

Ayurveda mein is dawav ka upayog karatey hai, lekin Homoeopathic mein isaka upayog High blood pressure, mansik ulajhan, nind na ana, mansik rog, ghabarahat tatha anya mansik bimaroyon mein akele ya doosare mother tinctures ko milakar upayog karatey hai

Isaki 10 se 20 boond dava adhe cup pani mein milakar, din mein avashyakatanusar pina chahiye

 

##########################

PASSIFLORA INCARNTA Q

Is Homoeopathic dawa ko niche likhi bimarion mein upayog karatey hai

* Yah Anti-spasmodic prabhav wali dawa hai

* Whooping cough

* Jinhein koi nasha karane ki aadat ho, aur nasha chchudana ho

* Neuralgia

* Bachchon mein Mirgi ka daura ya mirgi jaise daure padatey hon

* Jinaka swabhav bahut ugra ho, baat baat par jhagada karane ya marpit par utaru ho jave ya jinhe adha pagal ya “Half Mind” jaisi koi bimari nazar ave

* Insomnia, jinko raat mein nind na ane ki ya kam nind aane ki ya nind ki koi bimari ho

* Bhisan sir ka dard ho, ias alage ki sir phat javega

Doses: 60 boond se lekar 120 boond tak parati khurak mein dena chahiye, yah dava adhik matra mein hi dene se phayada karati hai, yadi isase kam hogi to labh nahin milega, isaliye is dava ki 60 se 120 boond ki ek khurak adha cu pani mein milakar tab tak  tak khilana chahiye jab tak taklief thik na ho jaye

############################ 

PAREIRA BARAVA Q

Yah Excretory system / Renal system / Urinary system par prabhav dalane wali medicine hai

Isaka upayog niche likhi bimariyon mein bahut safalata se karatey hain

  1. Renal colic
  2. Prostatic affections
  3. Catarrah of bladder
  4. Constant urging for urination
  5. Dribbling after urination
  6. Urethritis with prostatic problems

Isake alawa peshab se sambandhit jitani bhi takaliefein ho sakati hain, unamein isaka upyog karatey hain

Doses: 15 boond se 20 boond , aadha cup pani mein milakar din mein kai bar lena chahiye 

############################

ECHINESIA ANG Q

Yah dava Homoeopathy ki utkrashta dawaon mein se ek hain, ise niche likhe vikaron mein prayog karatey hain

* Acute infection * Septic conditions * Blood poisoning * Gonorrhoe * Boils * Erysepalus * Gangrene * Goitre *  Tendency to malignancy * Viral Infection * Pueperal Infection * Glandular Inflammation

Isaka prayog un rogon mein sabase achcha hai,jahan yah confirm ho jaye ki bimari kisi “INFECTION” se paida huyi hai, vahan yah dava bahut achcha kam karati hai

DOSES; Isaki 5 boond dava adha cup taze pani mein milakar din mein tin char bar pina chahiye

############################

COLEUS AROMATICUS Q

Ise mukhya roop se Pseshab aur Renal system ki takaliefon mein bahut upayog karate hain

  • Mutra avarodh / obstruction in urination 
  • Mutra krachch
  • Mutra pathari/ renal stone
  • Mutra nash
  • Kidney colic / pain
  • Renal pain
  • Bloody urine
  • Burning urination

Doses; 10 to 20 drops with half cup of fresh water 3 hourly / 4 hourly

 

##########################

Carduas Marianus Mother Tincture

Carduas marianus Q , yah liver se sambandhit sabhi prakar ki takalifon mein prayog karate hain, Liver ka badha jana, liver ka kam kaam karana, Liver ka cancer, Hepatitis B & C tatha sabhi prakar se liver se sambandhit rogon mein isaka prayog karate hain

DOSE: 10 boond dawa adha cup taze pani mein milakar  din mein do teen bar pilana chahiyem bacchon ko 2 se 5 boond dawa kaphi hoti hai aur bachchon ko din mein do baar dawa deni chahiyye, ise doodh mein milakar de sakatey hain

################################

BORRHAVIA  Q

 

Yah dava nimna rogon mein kaam aati hai

  • Shotha rog yani sharir ki sujan hatane ke liye
  • Beri bebri rog mein
  • Renal problems yani peshab se sambandhit sabhi rogon mein
  • Kidney failure ki prarambhik, dwitiya aur tritiya awastha mein
  • Gurde ki kaam karane ki sakriyata badhati hai, isaliye gurde se sambandhit sabhi bimarion mein isaka prayog karate hain

 

Mtara : Ise adhik matra mein dena chahiye isaliye yadi sujan adhik hai to 20 se 40 boond ki matra mein dein, yadi kam hai to 15 se 20 boond ki matra mein deina chahiye, ise kai baar din mein repeat karana chahiye

################################

BERBERIS VULGARIS Q

Yah mother tincture sabhi prakar ke un rogon ko door karati hai, jo KIDNEY ke rogon se sambandhit hote hain , jaise ki peshab mein Albumin jana, nephritis ke rog, gurde ka kam kaam karana, Gurde ki Pathary, aadi tamam tarah ke rogon mein isaka upyog karatey hai

Ise 15 se 20 boond ki matra mein aadhe cup pani mein milakar din mein kai baar jaroorat ke hisaab se prayog karana chahiye

############################

BERBERIS AQUIFOLIUM Q

Yah rakta sambandhit vikaron, skin se sambandhit sabhi rogon tatha nya vikaron mein prayog ki jaati hai

  • Useful in ACNE and Facial eruptions of all nature
  • Anomalies of Blood, it is good blood purifier
  • useful in some nature of cancerous ulcers, Leucoplakia
  • Facial discoloration, black spots around eyes, hypomelinosis

Doses: Ise 10 se 15 boond tak, din mein teen char baar , aadhe cup pani mein milakar pina chahiye

#################################

AZADIRACHTA INDICA Q

Yah ek bhartiya brakshsha se banayi huyi dawa hai, isaka prayog, Jwar yani Fever, Blood sepsis, Anomalies of Blood, Boils, slow healing wounds, skin disorders etc.

Jahan par ANTIBIOTIC ki jaroorat pade, wahan par Yah aushadhi ANTIBIOTIC ke sthan par prayog ki ja sakati hai

Isaki 15 se 20 boond , adha cup pani mein milakar pina chahiye, din mein teen char bar pina chahiye

#################################

AVENA SATIVA Q

Yah ek bahut achcha tonic hai aur sabhi umara ke logon ko phayada pahuchata hai, isase sharir ki takat aur manshpeshiyon ki karya chchamata badhati hai,

Yah neurological disorders ki bahut achchi dava hai, junhe kisi bhi prakar ka neurological disorders ho, ve ise do baar 15 boond aadhe cup pani mein milakar le sakatey hain , isake saath Ayurvedic ya Allopathy ki dava bhi kha sakatey hain

 

##########################

ASPIDOSPERMA Q

Is Homoeopathy ke mother tincture ka upayog un sabhi Phephade se sambandhit Bimarion mein kar sakatey hai, jinko LUNGS ki bimari se sambodhit kiya jata hai

 Yah Hmoeopathy ka LUNG’S TONIC hai, isaliye Phephade ki koi bhi takalif ho, Phephade ki bimari ka koi bhi naam diya gaya ho, sabhi mein isaka upayo kar sakatey hain

 Ise 10 se 15 boond tak adha cup pani mein milkar din mein teen char bar pina chahiye

################################

Alfalfa Q

 

इस दवा का मुख्य कार्य Sympathetic Nervous System के उपर अधिक होता है । इस प्रभाव के कारण, यह शरीर को neutrition, tonning of the body, appetite and digestive improvement, mental and physical लाभ पहुचाने के अलावा vigour और शरीर को gain of weight जैसे लाभ प्रदान कराता है ।

  

·        Neurasthenia

·        Nervousness,

·        Insomnia

·        Nervous Indigestion

·        Useful for nursing mothers

·        Urine anomalies

·        Prostatic Hypertrophy

·        Phosphaturia

·        Rheumatism

 

मात्रा : १५ से बीस बून्द तक आधा कप पानी में मिलाकर दिन में तीन या चार बार खाना चाहिये । 

################################

Aletris Farinosa Q

 

यह दवा नीचे लिखी बीमारियों में काम आती है ।

 

1- Prolapsus of Uterus

2- Prolapsus of Rectum

3- Leucorrhoeal discharges

4- Chlorotic, aneamic girls

5- Pregnent women

 

मात्रा : १० बून्द दवा आधा कप पानी में मिलाकर दिन में दो बार पीना चाहिये ।

 

###################################

 ADONIS VERNALIS Q

Yah dava Heart ke liye bahut muphid hai,  ise nimna bimariyon mein prayog karatey hain

* Heart problem, with / after Rheumatism, influenza, Bright’s disease

* Fatty degenaration of heart muscles

* Cardiac dropsy

* Hydrothorax, ascites, anasarca

* Low vitality,with weak heart and slow week pulse

* Used in Myocarditis, pericarditis, endocarditis, Cardiac asthama, Tachycardia and brady cardia

Doses; 5 to 10 drops should be taken three or four times daily

################################

ACALYPHA INDICA Q

 

Yah dava gale se rakta aane, constipation, clotted blood, heamorrhage of all nature,  khun bahana, rakta srav, TB wale marij ke thuk se rakta aana, rakta vaman, tatha sabhi prakar ke rakta bahane mein isaka bahut upayog hota hai

Doses; 10 se 20 bund tak, aadha cup pani mein milakar 4 -4 ghante ke antar se pina chahiye,

#############################

ABROMA AUGUSTA Q

Yah dava striyon ke rogon par vishesh rup se prayog ki jati hai

  • Painful condition of Menstruation / menses
  • Amenorrhoea / absence of menses

Yah rajonash, sirdard, chakkar, bahumutra, carbuncal, albuminuria, incontinence of urine, kamjori, anindra jaise rogon ki mahoshadhi hai. Rogi ka swabhav adhik krodhi, uttejit, mijaj chirchira rahata hai, Dimag mein kamjori, man mein Ashanti bani rahati hai, kathin parishram nahin kar sakata hai tatha kisi bhi tarah ka opposition bardasta nahin kar sakata hai.

 

Yah madhumeh ki ek achchi aushadhi hai, yah diabetes mellitus aur diabetes insipidus done mein hi kaam karati hai. Bonchitis aur broncho pneumonia ki yah ek achchi dava hai

 

Doses: 10 se 20 bund dava adha cup pani mein milkar din mein kai bar rog ki stithi ke anusar sewan karana chahiye.

#############################

Homoeopathic chikitsa mein mother tinctures ka bahut upayog hota hai, mother tinctures khane se bahut shighra aaram milata hai, kyonki yah crude form ki medicines hain aur inaka sharir mein asar hoawashya hota hai, yah kabhi fail nahin hote, isaliye inaka vishwas ke saath prayog karana chahiye, yah jaroor fayada pahuchate hain

Is page mein Homoeopathy mein prayog kiye jane wale mother tinctures ke bare mein janakari di jayegi

Badalatey samay AUR PRAPTA ANUBHAVON ke anusar meri koshish hai, ki is page par di gayi jankari ko lagatar update karatey rahein , taki logon ko paryapt aur saaf suthari vishvas yogya janakari milati rahe

################################

51 Responses to "HOMOEOPATHIC MEDICINES: Mother Tinctures होम्योपॆथिक औषधियां : मदर टिंक्चर"

Dear Sir,
I am a Homoeopath Physician, pratcising from home through Email, & Chat, and helping a no. of patients. I am giving Hom. Q to my father who is suffering from
Diab. Mel. -Abroma Aug., sygyj Jmabo., Acid. Phos, Gymnema, 20 drops three times daily,
Hypertention- Rawalfia Q
is it correct to continue for longer time? is there any side effects of using these Qs longer time?
His bld. creatinine is 2, which is quite high, for his kidney function, I need the name of the medicine which can help him.
He is having stiffness of muscle which made it difficult to move and pass urine and stool. Now I will start Plumbum 30 once daily for three days. Is this medicine correct?
Kindly help me for this problem, appreciate the kind reply in anticipation.
Your’s truly.
Fatima.

@ Reply by Dr. D.B.Bajpai………………………………Thanks Fatima for your efforts of treating your father, but I will like to suggest you that you must take advise from atleast a senior Homoeopaths at your locality, because what I percieve in this case, presently the Kidney pathology is going worse because Creatinine level is going gradually high, with this he is suffering from other allied problems, like High Blood pressure, diebeties, Myopathy etc. Certainly his other cardinal blood test will be not in normal limit. First you attentive to Kidney and diebetes control, if these two prime problems will be under control, the progressive pathology will minimize and slow and this will improve the patient condition. Regarding medicine you have mentioned, you should think for more medicaions, thanks.

Dear SIr,
I am very thankful for your kind and immediate reply, until now I did not recieve any reply from any so-called HOM.PHY.

Earlier to my treatmnet, his bld.sug used to remain very high even after on diet, but with starting my treatment since three weeks his bld.press. & diab. is started contrrolling to certain extent, Bld. Sug Fasting- 216, and Post.P-220.

Hypertention is also under control. He was having infection in urine which is also being treated.

Actually he had started a classical hom. treatment, without any relief of his symptoms, & where he is staying there no lift is porvided, & in clinic he has to climb one & half storey, which is impossible for him, later he lost hope of visiting any homeopaths. Since three wks. I started local treatment, with very little improvement.

I despirately seek the help from any Homoeopath to help me to find out the mother tinctures for kidney failure & stiffness of his muscles, we will definately start physiotherapy this week, it may help him & God will give you the reward.

I would be very greatful in anticipation to receive the immediate reply.

Kind Thanks,

Your’s truly

Dr. Fatima

……………Reply by Dr.D.B.Bajpai………….. I will suggest you to consult any Homoeopathic doctor for your quarries, who will suggest you single or combined medicine for your INDIVIDUAL, SPECIFIC, ISOLATED problems. Homoeopathy requires “individualisation” in treatment. Thanks.

reply by dr. kapil-hello fatima i suggest carcinosi 200 4 pills tds,eucalyptus q 10 drps tds,eel serum 200 10 drps tds,fr kidney,urtica urens q 10 drps tds,for stiffness

muje kafi saal se peshab mein problem hai, standing position mein peshab nahi aata lekin siting position mein tutat aa jata hai, is ka koi upaye ho to plz bataiye……..

Dear Doctor Kapil,

First of all accept my thanks in order to forward me the reply for my question.

As you have decided to help me, I definatley need an answer for burning feet at night due to Diab. Polynuropahty.

As I started Phos 30 its giving very less effesct, can you prescribe some medicines for it.

We had started Homoeopath’s treatment since 4 months ago, it just cured guiddiness and swelling of feet, this month I started my own treament, with Asenic Alb 30, it reduces Breathlessness sneezing, running nose & weakness with good results,but not burning feet and Phos 30 for burning feet at night with little relief as Ars ALb did not cover this symptom.

I think his constitutiona medicine is Ars. Alb 1M, can it solve the other problems like Hyperchestreamia, bld.sugar, hyperention stifness of muscles already he is on Physiotherapy?

I have prescrbed today crateg. MT, Alium sative MT. SUmbul MT 10 drops each once daily for mild heart enlargement, & high B.P.
is it corret ?

I would be thankful in anticipation, and will be waiting for your reply.

Thank you.
Dr. Fatima

………..Reply by Dr. D.B.Bajpai……….. I will request to Senior Homoeopathic physicians, who often visit this webblog, to help as well as possible to Dr. Fatima. Her e-mail address is given below for contact. Thanks.

e-mail:fatimaneelam@gmail.com

Hello webmaster
I would like to share with you a link to your site
write me here preonrelt@mail.ru

Namaste dr sahab
mai 24 vars ka hu mera bahut samay se ya bachpan se hi pet karab rehta hai is samay mai homopathy medicine le raha hu jisse muzhe fayeda hua hai mai jaldi thik hona chahata hu mere parasani hai ki mere ko subhe fresh hone ke liye bahut manamne karne parte hai pani pita hu bahut der ghumta hu par tab bhi agar mera presar lag bhi jae to pet clear saaf nahi hota jabki mai rat ko kam khata hu ghumne jata hu mere pachan kriya bhi sahi nahi hai pehle acidity hote thi par ab aram hai mere sabse bari probleme hai ki mere pet ke left side me nabhi ke pas dard rahata hai din me to itna feel nahi hota par rat ko khana kane ke bad agar main walk par naa jau to aisa lagta hai ki khana rakha hai tab pain bar jata hai mai pehle hath se maithun bhi karta tha par ab kam kar diya hai muzhe bahut dar lagta hai kabhi pet me koi bimari naa ho
muzhe mere probleme ka solution bataye
Thankyou very much

Bhagwaan dhanwantri ayurvedic centre.

dear sir aap ka bahut bahut dhanya baad

……….Reply by Dr. D.B.Bajpai……….., jitani dikkate bataayi hain, ve bhi kam nahi ho jaayeingi. Mera ilaaj karane kaa tarika bilkul alaga hai. Kisi bhi bimari ka ilaaj karane se pahale main marij ka electro tridosha graphy ETG AyurvedaScan ka parikshan karata hun, is parikshan ke parinaam par adharit hokar hI main ilaj ki vyavasthaa karata haun. is prakar se parikshan adhasrit ilaaj bahut sahi, satik aur shighra parinam dene wale hote hai.

dr sahab dhanyawad aapne mere mail ka jawab diya

plz contect any question related from homoeopathy

Hi,

its mother tinctures cause more aggravation than pills ?
its good to prescribe mother tinctures to diabetis patients or adult patients.

Rgds
Dr. Aastha Belani

………..reply by Dr DBBajpai………..If you prescribe mother tincture of homoeopathy to any patient and of any age, MT will never harm. These are totally safe and there is no aggravation at all of any kind. Mother tinctures are assimilated just after swallowing and works fast.

Anyone and in any disease onditions MT can be taken. They are totally safe.

Dr.
I am Nephrotic Syndrome patient. This disease was diagnosed in the year 2007 from the first day I am taking Homeopathich patient earlier albumin ++++ now last test was performed in the month of august wherein albumin showed + only. Dr. Prescribed me Apis M Q 10 drops in water three times in a day. Still taking on….I am diabetic too let me know how to get rid on diabetic and nephrotic syndrome

………..reply by Dr. DBBajpai………..aapako jo bhi takalif ho rahi hai , vah aapake Diebetic hone ke karan ho rahi hai, sabase pahale jarurat hai aap apani diebeties control karein, jab yah normal ho jayegi to apki nephritis bhi thik hogi. sab kuch diebeties ke control hone par nirbhar karata hai.

Ayurvedic davayein le ya homoeopathic ki, lekin yah jarUr dhyan rakhe ki aapakaa chikitsak kitana ustad hai.

Doctor thik hoga to aapki takalif bhi thik hogi.

Hamane ETG AyurvedaScan system ke dvara aise syndromes ko dekhakar yah conclusion nikala hai ki aisi takalifon me Pancreas, Liver, Gall Bladder, Kidney, Thyroid & thymus glands tathaa chhoti aur badi aant kaa involvement bimari ke saath jarur hota hai. Ham in organs ki intensity ke anusar davao ka chunav karate hai aur tabhi bimari ko jitane me safalataa prapt karate hai.

Sir mera naam mahendra hai me mumbai me rahta hu mujhe gurde ki pathari hai 17mm ki or dr. bolte hai ki oprate karni padegi lekin mujhe dar lagta hai or me chata hu ki bina opreation kiye hi nikal jaye agar homiyo pathic me iska ilaj hai to kripaya mujhe sujest kare ki konsi dawai leu or aap apna phone no. or clinic ka pata likhe jisse me aapko aakar dikha saku

sir jawab jaroor dijiyega me aapka ehsaan kabhi nahi bhooloonga mujhe bahut dar lagta hai kuki mujhe urin me bhi jalan hoti hai or dard bhi hota hai

@………..reply by Dr DBBajpai………..aap pathari ka ilaj kisi najadik ke Ayurvedic ya homoeopathic doctor se karayein, yah melt hokar nikal jayegi.aapako isaka operation nahin karana pdega aur meri salah bhi yahi hai ki aap operation na karayein to jyada achcha hai. Mumbai me bahut se kabil doctor hain unsase sampark kar lein.

Is web blog mein kai post hain jiname pathari ke bare me likha gaya hai, aap vahi dekha le.

Mere pate ke bare mein ABOUT ME ya CONTACT TO Dr. DBBajpai page me dekha lein , sabhi kuch vahi mil jayegaa.

Respected doctor sir, Nameshkar.

I am mirgi rog patient last 18 years. mai english medicin khaa raha hu aur abb (14.10.2010) ko majay 3 year k baad fit padh gaya. mai beech-2 mai medicin nahi kahta thaa. pls app meray ko koi achi see homopathic/ayurvedic medicin jarur batley appka bahut-2 shukriya hoga. Bharat Bhushan

@………..reply by Dr DBBajpai………..agar aap apane ilaj ke liye vastav me bahut serious hai to sabsse pahale apanaa ek ETG AYURVEDASCAN parishan karayei aur usake baad ilaj le. Agar isi tarah se ilaj karate rahe jaisaa ki abhi kar rahe hai , to usaka aapako koi phaayadaa nahi milega, aur baar baar isi tarah ke attack padate rahenge.

HIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII; YOUR’S KNOWLAGE IS SOO GOOD.

sir mera nam hppal he mujhe kharrate ate hai bahut tej sir mujge koe medicien batai
very very thanks
tumhara pal

………..reply by Dr DBBajpai………..Pal ji, aap ko kharrate aate hai, isaka matalab yah hai ki aapako Frontal aur maxilary sinusitis aur naak ke andar gosht badhane ki takalif ho chuki hai, isi ke karan jab ap nak ke jariye bahar ki hava andar khichate hai to aapako have ke avaruddha hone se jo avaj paida hoti hai, use kharrate kahate hai.

kharrate aane ke bahut se karan hai, yah anto aur gastro intestinal tract ke vikar hone se paida hoti hai, jaisa ki hamane ETG AyurvedaScan report ke adhar par nishkarsh nikala hai lekin isake saath saath any dusari bhi takalife hoti hai jinake parinam swarup yah bimari hoti hai

ise sadharan takalif na samajhiyaega, isaka ilaj karaye, apane najadik ke kisi Ayurvedic ya homoeopathic chikitsak se mile aur usase dava le, bina dava ke yah bimari thik nahin hoti hai tatha kalantar se yah pareshan karane vali takalif ho jati hai.

sir kya generalised epilepsy fit ke liye homoeopathic me ilaz hai.kya ye 100% cure ho sakti hai?

………..reply by Dr DBBajpai………..Homoeopathy me aisi kisi bhi bimari ka bahut satik ilaj nahi hai, isaliye behatar hai ki ayurved ka ilaj karayein, allopathy me bhi bahut achchaa ilaj nahi hai, aap is bare me FAQ Frequentaly asked questions aur isi se sambandhit posts ko padh le.

Sir.mare shaddi ko 2 sall ho gye hai. mujko shaddi ke bad se urain infactin har mahine hota hai.mane doctor se treetmant karwaya to wo antibitik tablat dete ha jase oflox.mujko ston problem bhi nahi ha.par na to infaction teek hota ha.or na he pragnancy ho rahi hai.harmon ke kame bi hai.plz mare prasani door karo.

………..reply by Ayurvedician………..kahavat hai “sandeshon dvara kheti nahi hoti” that means ‘by communication , agricultural work can never happen’ , agar ap seriously apani bimari ke bare me ilaj karana chahati hai , to FAQ ke “KASTSADHY ASADHYA ROGO KI CHIKITSA ka uttar pad le

Respected dr.
Mera nam gagan hea muze kidny kee taqleef hea. Meri ek kidney remove krwa di keunke wo khrab ho chuki thi ab dusri kidney men bhi problum hea muze zyada taqleef urin ki ati hea urin ke lia ab mean colius aromaticus q le rahan hu per this madicen not work at me plz give some solution mera s.c is 3 or b.u 80 hea kya mean homeopathy mean is problum ka solution hea

………..reply by Vaidyacharya………..Ayurvedic ilaj karein, aapaki kidney fail ho rahi hai, KAST SADHYA AUR ASADHYA ROGO KE ILAJ vale page par jakar apana uttar dekh le

dear doctor sir, delhi m apni clinic k address details send karay. mai mirgi rog patient hu………..tks

………..reply by Dr DBBajpai………..Kanpur , Uttar pradesh ke alava mari kahi par bhi dusari clinic nahi hai / agar meri sevaye lena chahate hai to apako KANPUR SHAHAR anaa hoga, dhanyavad

mai 22 saal ka hu or mere baal bhut jada jhar rahe hai or loss of appetite ka bi problem hai or….kirpya koi illaj bataye

plz koi upaay bataiye aapka bahut hi dhanyavaad hoga

mere paas koi javaab nahi aaya hai aur jo aaya hai vah kisi aur ka javaab aaya hai

Pathri ki bimari ke liye (yoro stone younani) dava ligye jab tak pathri nikal na jai khate rahe

pathri problem

………..reply………..pathari ka kuch ata pata hai ?

Sir
mere pesav v letrine ke vad ////// girta hai.tatha hamara >>>>>>> …….. bhi hai.jijse men bhut presan hai mujhe shigra upchar vtane ka kast Karen.men apka abhari rhuga.

Dr sahab mai 23 sal ka hu…meri left me 13 mm ki pathri hai mujhe pet me bahut taklib rahti hai thoda thoda dard har samay rahta hai 1bar to dawai se asar hua tha par pathri puri taras se clean nahi hue kirpa karke mujhe iska upchar bataye pls reply

……….reply by Dr DBBajpai………..gurde ki pathari chahe jitani badi ho, ayurvedic aur homoeopathic upachar se gal karake ya chote chote tukado me tutakar nikal jati hai sabse achch hai aap apane najdik ke kisi AYUSH chikitsak se salah le aur usaka upachar karein. AYUSH upachar karane se 100 pratishat PATHARI thik ho jati hai.

sir mera naam rahul hai …>>>>>>>><<<<<<<<<?????::::::::::"""""""""???plz

mujhe 12 saal se constipation ki problem hai jab main 14 saal ki thi tabse. main bachpan se hi faulty diet khati thi, tabse mera homeopathic treatment chal raha hai. aaj tak mujhe chelidonium se hi aaram aaya h lakin medicines ke saath saath maine diet nahin badli thi to phir se constipation rehne laga hai kuch 5 saalon se, saath mein menses bhi regular hote hain par kam hoe hain ab roz subah motion hota hai ek glass garam paani peene se par incomplete hota hai aur jis din bhi kuch junk khana khalun tab agle din nahin hota aur churan lena padta hai
ab doctor ne mujhe abroma augusta Q di hai.
kya ye ilaaz sahi hai, mujhe kuch farak to lag raha h.

………..reply by Dr DBBajpai………..ap apni is bimari se jara bhi laparavahi na kare, ane vale samay me yahi shikayat badh kar apake liye sirdard ban jayegi, ho sakata hai apako “mega colon” jaisi bimari ho jay , isaliye sabase achcha hai ki aap apne najdik ke kisi AYURVEDIC DOCTOR se ilaj karayein, HOMOEOPATHY me jitanaa apako fayadaa ho sakta tha utana ho chuka hai , ab AYURVEDIC TRETMENT apanaiye

mujhe iching ki problem hai, i am a physisian pls help me

………..reply by Dr DBBajpai……….aap kis cikitsa vidha ke doctor hai, yah to mujhe nahi pata lekin itching agar sharir me ho rahi hai to iska spast matalab hai mi sharir me rakt me koi toxic matter mil raha hai, yah kuch bhi ho sakata hai, jasiseki koi allergens, rakt me bilirubin ke kan, koi patracytic infection ya phir kuch aur, ap sabase pahale apane rog ka nidan karayein aur uske bad jab ilaj karenge to avashy paayada hoga, jab tak mul rog nahi thik hoga , apako koi aram nahi milegi, jab mul rog thik hoga to apaki itching ki takalif thIk ho jayegi

Dear Sir,

Do u sale etg scanner what is the cost.

…………reply by Dr DBBajpai…………recently we have planned to provide FRANCHISE of ETG AyurvedaScan system Globally. Any person , who desire to be our franchise and can invest Rs 1 Lac 40 thousands [Rs140,000/-], which includes security deposits, registration, cost of machine and total set ups etc etc etc.

The person ,who wish to be our franchiser, must have the facility of internet connection, sufficient working space, computer & printer. Only one frachise will be set in one District and city in all states.

We will supply the machine and other accessories necessary with practical traning for the scanning /mapping of the human body at our research center at KANPUR or will provide CD and other mode of conversation, those who can not visite to our research center.

More details can be had from KERI INDIA , 67/70, Bhusatoli Road, Bartan Bazar, KANPUR-208001 with written request to manager.

SINUSITIS SE PIDIT JISKI KABHI NAK BAND HO JAATI HAI JAKAD JATI HAI AUR USSE PANNI TAPKANE LAGATA HA NAAK SE SAAS NA LE PAATA HO AISE MAI KYA DENA DHIK HOGA

…………reply…………ap Kanpur akar apana pahale ek ETG AyurvedaScan parikshan kara le , ayurvedic ilaj aur homeopathic ke combined ilaj se apaki bimari 100% aram ho jayegi, ap hamare AYURVEDIC PANCHAKARM HOSPITAL me rah kar kuc din ilaj karale to sabase acchaa hogaa, hamare ilaj se sat pratishat SINISITIS ke rogi thik huye hai

Dear Sir, Mera namm ravi hai from Kurukhsetra, Haryana. mere left gurde mai 2 pathri hai 5mm ki aur right mai 5mm ki ek hai. sir mai berberis vulgaris Q medicine le reha hu 2 month se lekin koi ferk nahi hai mujhe pain to nahi hota but dubara ultra sound mai pathri ka size same hai. Sir mujhe kya saath mai koi aur medicine leni chahiye.

………..reply………..ji, han, aapako apani pathari ki bimari ke liye pura ilaj karana chahiye, aur isake liye kisi DOCTOR ki salah lekar dava lena chahiye aur FULL FLASHED treatment lena chahiye,

Adhakacare aur bina doctor ki salah lekar ilaj karayenge to phayade ke bajay nukasan jyada hoga, isaka dhyan kariyega, saath me parahej karana bhi jaruri hai

sir can i know i have my ist 7th week pregnancy i have a period pain can it’s the possible w the cause plz advice me

Sir,
apne jo tb rog ke liye jo homophaythic dava batayi h kya ye dava thik h aur kaya ish homophaythic dava ko any dava ke sath istmal kar sakte h

……….reply………..dava sabhi thik hoti hai , lekin upayog karane se pahale kis doctor se salah le to jyaadaa achcha hogaa

mai ETAWAH(U.P.) Ka rahane wala hoi meri wife ke gallbladder mai 4mm ki stone hai dard se pareshan rahti hai jiska 2month se ayurvedic treatment ho raha hai lekin dard sahi 8-10 mai dard hota rahta hai plz treatment batao ,mobile-xx89855539

Sir main bahut hi kala hoon kya aapke homeopath me koi aisa medicine hai jo hame thoda bahut gora bana sake please sir please

Dear Sir, I am in habbit of taking tobacco almost 16 Hrs /Day from last 8 years. I want to

leave this habbit as soon as possible as it adversly affected my mind power and confidence

I am mentioning some of my common symptoms and characteristics which I desperately required

your attention to cure me with Homeopathy. For your information I misused many homeomedicines

from my child hood to this period.Please go through below points and suggest me next action

item steps:

1) M bahut hypersensitive and hyperactive person hu according to other doctors
2) public place m Pesab nahi ker pata tha due to shyness and hidden natures
3) hamesha gussa rehna aur jyada dhyan gandi gandi baten sochna
4) M parai kerne m bahut lethargy hu lekin koi practical kaam kerne m sabse age.
5) Sun heat ya garmi jara b bardasht nahi hoti aur abnormally sweating hoti hai face,back

chest m jisse turant weakness aa jati hai and loss all my stamina.
6) M hamesha sochta rehta hu aur hamesha sympathy and izzat chata hu ki log muje puche naam

le.
7)Masturbation ki adadt hai jisse mere growth hormone m affect para and stamina.Now confidence

loose hai. I m not married still and my age is now 32 years.
8) Upto age 24 m patla tha but location change kerne k baad thora sa b khata hu to weight gain

tendency jyada hai. Mera weight sirf chest and lower abdominal m jyada badta hai compare to

legs and hands.
9) M Avena -Aswaganda Use kerta tha jisse meri yadast shakti to badi,confidence bada but aaj

khane per just iska ulta asar hota hai.
10) Sugar,hormore,blood tests are all normal. Paani bahut peeta hu lagbhag 4-5 litre/day.
11) M koi b apman nahi seh pata and gussa sant hone m time lagta hai.Kisi baat ko lagatar

soche rehta hu jisse sirf time barbaad hota hai.
12) M exercise kerta hu per kaam ki wajah se regular nahi ho paati.
13) Practically dual nature hai m bahar se well body built lagta hu per under se bahut kamjor

kyunki muje koi b bimari jaldi pakarti hai jo long time tak rehti hai.
14) Khana jaldi jaldi khata hu aur raat m nind dhang se nahi aati.
15) tez awaz,light, heat bardhast nahi ker pata, gussa ata hai, chirchirapan hoti hai.
16) apne aap ko hamesha kam sochta hu, inferiority complex hai jiska karan bahut had tak meri

kharab aadat,heridetery and meri thinking hai. Time waste kerta hu
17) M akele b nahi reh sakta as muje koi insaan chaye baat kerne k liye.
18) M bahut darpok nature ka b hu.

………..reply………..sabse pahale tambaku khana band kare, lekin yah dhire dhire chhode, abhi 16 ghante tambaku khaate hai, ise ek ek din ek ek ghanta kam karake 16 din 1 ghantaa par le aaye / is ek ghantaa ko 15 15 minat me din me char bar kahaaye phir dhire dhire chchod de aur ek dam band kar de, jab tambaku ek dam chut jaye tab ek mah tak koi davaa mat le aur apane najdik ke doctor ko dikhaye

aap chahe to kisi PSYCHIATRIST ko dikhaa kar yaa salah le sakate hai aur jaise Psycotherapist bataye usake anusar ilaj karaye. apaki bimari thik ho jayegi aur purn swasthay prapt kar lenge

Dear Sir, Thanks for your reply. Aap jaisa kahe waisa tobacco ko chorne ki kosis kaunga.M ek aur baat batana chata tha ki jahan tak Psychiatrist ki baat hai m khud gaya tha Rinpas(Ranchi) jahan CMO ne mera sara katha suna fir kuch test liya aur medicine diya. Jab medicine khaya almost 6 months to kuch confidence hua per saath saath side effects yeh hua ki m idhar udhar soch nahi pa raha tha aur body sust ho gaya tha. So m dawai chor diya kyunki isse mere kaam kerne aur job m pareshani ho rahi thi saath saath lazyness aur jyada nind ane ki wajah se weight gain ho gaya tha. Fir m Avena-Aswagandha Q liya apne se 1 month jisse muje energy mila aur exercise suru kiya. Jab exercise suru kiya to thik tha per memory pehle se kamjor ho gaya.M jis job nature m hun wahan hamesha active rehna perta hai per performance upto required nahi ker saka jiske karan jyada sochna parta hai aur internally depression m. lekin Tobacco nahi chore the. I think sabka jar tobacco hi hai. Per muje chorne k liye bahut jyada determination ki jarurat paregi. M jaan raha hu ki isse hani ho rahi hai per addiction k karan le leta hu.

Aap homeo m aisa medicine suggest ker sakte hain jisse tobacco ka lalach kam jaye aur isse irration ho? M Caladium 30 /200 liya tha.kuch kam hua lekin m jabardasti tobacco liya adat k karan.

……….reply…………aapake liye sabase achchaa yahi hai ki kisi najadik ke homoeopathi yaa ayurvedic doctork salah lekar dava khaaye aur management kare, apako personal doctor ki care ki jarurat hai

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

ETG AyurvedaScan WORLDWIDE Visitors Count Begins from 17 August 2010

Every Second Count of Visitors

ayurvedaintro.wordpress.com
81/100

Google Page Rank ; Top 10 ; counting starts from 13 February 2011

Instant presence of visitors ; counting starts from 13 February 2011

WELCOME to all of you ; Kindly write your comments ; आपका स्वागत है : कृपया अपने विचार अवश्य लिखें

  • 446,741 hits

E-mail address for CONTACT

kpcarc@gmail.com

इन्हे भी पढ़िये और समझिये

स्वास्थ्य दैनिकी ; Swasthya Dainiki

जून 2012
सो मँ बु गु शु
« मई    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
252627282930  

Aapane Likha, bahut khusi huyi आपने लिखा, बहुत प्रसन्नता हुयी

Top Posts

Thanks Visitors

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 72 other followers