Bahut se logon ko yah tak pata nahin hota ki ve jab bimar hon to unako kya khana chahiye aur kya nahin khana chahiye , kyonki bahut si takaliefein is prakar ki hoti hain ki unamein kahn paan ka bahut khyal karana padata hai
Ise ek udaharan se main samajha deta hun, yadi kisi ko Patale pani jaise dast ya pakhan ya mal aa raha ho, aur is vyakti ko Doodh pila diya jaye ya tali bhuni garist chijein khilayi jayein to kya hoga ? Nishchay hi is vyakti ki bimari adhik vikaral roop le legi aur iski takalief kabhi bhi nahin theek hogi , ulatey badha jayegi, yadi is bimar ko Kela, bel ka sharbat, sada daliya, chchacch ya mattha, dahi aur bahut halka khana diya jaye to yah bahut jaldi theek hoga,
Yahi Pathya aur Parhej hai, yano bimari mein kya khaya jaye aur kya na khaya jaye
Is page par main bimari ka naam likhakar usaka parahej batane ka prayas karoonga
#################################
DIARRHOEA YANI ATISAAR YANI PATALEY DAST AANA
Jab pataley dast aa rahe hon ya pani jaisa pakhana ho raha ho to :
* Khadya padarthon mein: Halka bhojan karein, jaise Sabjiyon ka soup, sabjoyon ki curry, sabjiyon ko masal kar patala karke baad mein kahyein / patali khichadi, khichadi moong ke daal wali ho / Daliya aur sabzi / Chchachch aur biloya hua dahi, dahi patala kar lena chahiye. jyada gadha dahi hazam nahin hota
* Phalon mein ; Anar ka jiuce phayada karata hai, baki juice soch samakh kar pina chahiye, juice khatta bilkul nahin hona chahiye, agar khatta lage to namak ya shakkar ya glucose inamein se koi bhi swad ke anusar mila lein, kachche Nariyal ka pani pi sakatey hain
* Doodh ya doodh se bane padarth bilkul na lein, doodh pine se diarrhoea aur jyada badhata hai
* Glucose wala pani, namak shakkar ka ghole, Bel ka sharbat, shakkar ka sharbat , thodo thodi matra mein pi sakatey hain
* Kele yani Banana aur Paka hua Bel kha sakatey hai, doosare phalon ko soch samajh kar khayein
* Chay halki tatha kam doodh ki hona chahiye
Jab Diarrhoea ka prakop kam ho jaye to Roti, sabzi khana chahiye aur daal tatha kacche phal na khaye
Sharir ko poorna vishram dena chahiye, kyonki sharir ki energy diarrhea se kaphi kam ho jati hai, jo sharir ko kaphi chchin kar deti hai, mehnat ke kaam aur daur dhoop se bachana chahiye
M bahut patla hu give advise
agar dhatu rog ho to kya aurvedic ausadiya hai?
January 19, 2009 at 4:06 AM
Sugar fasting-286 & PP -390